Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2012

Ramzan ke rozon ki ahmiyat

Prayer and zakat

Ya ALLAH! Don't let us die, Unless we are true

Ya ALLAH! Don't let us die, Unless we are true Muslims Ya ALLAH! Don't let us die, Unless You are satisfied with us Ya ALLAH! Don't let us die, Unless the strength of our Imaan is what you want it to be Ya ALLAH! Don't let us die, Unless our hearts are clean Ya ALLAH! Don't let us die, Unless our families are happy with us Ya ALLAH! Don't let us die, Unless everyone that we may have hurt have forgiven us Ya ALLAH! Don't let us die, Unless prophet Muhammad (salallaho alaehe wasallam) is proud of us Ya ALLAH Don't let us die, Unless the tears in our eyes when we cry to You are crystal clear Ya ALLAH! Don't let us die, Unless we have received the key to Your Garden of Peace. Ameen Ya ALLAH

Mahshar ...

محشر میں سب سے پہلا حساب نماز کا : قیامت کے دن سب سے پہلے نماز کا حساب لیاجائے گا ، اگر نماز کا معاملہ درست رہا تو دوسرے اعمال خیر بھی بارگاہ الہی میں مقبول ٹھہریں گے ورنہ انہیں بھی رد کردیا جائے گا اور اس شخص کو خسارے اور نقصان کا منہ دیکھنا پڑے گا ۔  [ الطبرانی الاوسط

Surah hood 88

شعیب ؑ نے کہا ’’ بھائیو ! تم خود ہی سوچو کہ اگر میں اپنے رب کی طرف سے ایک کھلی شہادت پر تھا اور پھر اس نے مجھے اپنے ہاں سے اچھا رزق بھی عطا کیا (تو اس کے بعد میں تمہاری گمراہیوں اور حرام خوریوں میں تمہارا شریکِ حال کیسے ہو سکتا ہوں؟) اور میں ہرگز یہ نہیں چاہتا کہ جن باتوں سے میں تم کو روکتا ہوں ان کا خود ارتکاب کروں ۔ میں تو اصلاح کرنا چاہتا ہوں جہاں تک بھی میرا بس چلے۔ اور یہ جو کچھ میں کرنا چاہتا ہوں اس کا سارا انحصار اللہ کی توفیق پر ہے، اُسی پر میں نے بھروسہ کیا اور ہر معاملہ میں اسی کی طرف رُجوع کرتا ہوں۔ (88)سورہ ھود Shu'ayb said: 'My people! What do you think? If I stand on clear evidence from my Lord, and He has also provided me a handsome provision from Himself -(should I be ungrateful to Him and share your error and iniquity?) Nor do I desire to act contrary to what I admonish you. I desire nothing but to set things right as far as I can. My succour is only with Allah. In Him have I put my trust, and to Him do I always turn

Surah hood 87

انہوں نے جواب دیا ’’ اے شعیب ؑ ! کیا تیری نماز تجھے یہ سکھاتی ہے کہ ہم ان سارے معبودوں کو چھوڑ دیں جن کی پرستش ہمارے باپ دادا کرتے تھے ؟ یا یہ کہ ہم کو اپنے مال میں اپنے منشا کے مطابق تصرف کرنے کااختیار نہ ہو؟ بس تو ہی تو ایک عالی ظرف اور راست باز آدمی رہ گیا ہے!‘‘ (87)سورہ ھود  They replied: 'O Shu'ayb! Does your Prayer enjoin upon you that we should forsake the deities whom our forefathers worshipped, or that we should give up using our wealth as we please? D

Surah Al-Mujadila # 11- 15 .

. Surah Al-Mujadila # 11- 15 . اے ایمان والو جب تمہیں مجلسوں میں کھل کر بیٹھنے کو کہا جائے تو کھل کر بیٹھو الله تمیں فراخی دے گا اور جب کہا جائے کہ اٹھ جاؤ تو اٹھ جاؤ تم میں سے الله ایمان داروں کے اور ان کے جنہیں علم دیا گیا ہے درجے بلند کرے گا اور جو کچھ تم کرتے ہواللہ اس سے خبردار ہے (۱۱ O you who believe, when it is said to you, “Make room (for others) in the sittings”, then make room, and Allah will make room for you (in the Hereafter). And when it is said, “Rise up”, then rise up, and Allah will raise those, in ranks, who have believed and are given knowledge. Allah is well-aware of what you do. (11 اے ایمان والو جب تم رسول سے سرگوشی کرو تو اپنی سرگوشی سے پہلے صدقہ دے لیا کرو یہ تمہارے لیے بہتر اور زیادہ پاکیزہ بات ہے پس اگر نہ پاؤ تو الله بخشنے والا نہایت رحم والا ہے (۱۲ O you who believe, when you consult the Messenger in private, then offer something in charity before your consultation. That is better for you and purer. But if you find nothing (to offer), then Allah

Ilam ke bagair aqal

علم کے بغیر عقل ایسے ہے جیسے جوتے بغیر پاؤں کے اور عقل کے بغیر علم ایسے ہے جیسے پاؤں بغیر جوتے کے Knowledge without intelligence is like having shoes with no feet. And intelligence without knowledge is like having feet with no shoes

Nakami par mayosi ka ahsas

کامی پر مایوسی کا احساس اس بات کی نشانی ہے کے تمہارا یقین (الله کی بجاے) اعمال پر ہے A feeling of discouragement when you slip up is a sure sign that you put your faith in deeds

Marhaba Sad Marhaba! Phir Aamad-e-Ramadan Hai

Marhaba Sad Marhaba! Phir Aamad-e-Ramadan Hai! Khil Uthe Murjae Dil Taza Hua Iman Hai! Abr-e-Rahmat Chha Gaya Hai Aur Saman Hai Noor Noor! Fadal-e-RAB Se Maghfirat Ka Ho Gaya Saman Hai! Bhaio Behano! Karo Sab Naikion Par Naikian! Par Gaye Dozkh Pe Tale Qaid Mein shaitan Hai! Kam Hua Zor-e-Gunah Aur Masjidein Aabad Hain! Mah-e-Ramadan-ul-Mubarak Ka Ye Sab Faizan Hai! Rozadaro! Jhoom Jao Keun-K Deedar-e-KHUDA! Khuld Mein Hoga Tumhein Ye Wa’ada-e-RAHMAN Hai! Do Jahan Ki Nematein Milti Hain Rozadar Ko! Jo Nahi Rakhta Roza Wo Bara Nadan Hai! Ya ILAHI! TU Madine Mein Kabi Ramadan Dikha! Mudaton Se Dil Mein Ye Attar K Arman Hai!

Surah An-Nisa #31

... Surah An-Nisa #31 ... اگر تم ان بڑے گناہوں سے بچو گے جن سے تمہیں منع کیا گیا تو ہم تم سے تمہارے چھوٹے گناہ معاف کردیں گے اور تمہیں عزت کے مقام میں داخل کریں گے If you abstain from the major (sins) out of what you have been forbidden from, We shall write off your minor sins, and shall admit you to a noble entrance

Islam

Islam Islam is to obey Allah and his Prophet Hazrat Muhammad (SAW). Muslims believe that God is one Hazrat Muhammad (SAW) is the last Prophet of God. There are five fundamental principes of Islam, they are The declaration of La-ila-ha-il-lal-la-hu mu-ham-ma-dur ra-sul-lah. This means there is no god but Allah and Muhammad is His Prophet. The observance of prayers five times a dey. To distribute Zakat among the deserving people To ovserve fast during the day time during the whole month of Ramzan To perform Haj at Makkah at least once in life, if circumstances permit

Namaz Jumma

Namaz Jumma Namaz jumma pray in friday at the time of zuhar namaz. namaz jummah has 14 rikkats in which 4 sunnat, 2 farz pray with the imam then 4 sunnat, 2 sunnat and 2 nafil. More detail read in bellow. Namaz Jumma: Jumma ke din zuhar ke waqt namaz zuhar ki bajaye namaz jumaa parhte hain jis ki chodah rikkatain hain pehle char sunnatein phir do farz imam ke sath phir char sunnatain phir do sunnatain phir do nafil. Khas Khas Batain: Namaz jumma auraton par farz nahi woh is ki jagah namaz zuhar parhein. Namaz jummah ke liye jamait zaruri hai bela jamait ada nahi hoti agar kisi ko imam ke sath namaz jumma na mile to is ki jagah namaz zuhar parhe. Nafil namaz ka hokum yeh hai ke is ko parhe to buhat sawab paye aur na parhe to gunah na ho ga magar sawab se mehrum hoga. Ghair moaqqada sunnaton ka bhi yahi hokum hai. rikaton ke biyan mein jin sunnaton ka zikar hua hai in mein asar ke farzon aur isha ke farzon se pehle jo char sunnatain hain who ghair moakkada hain in ke e

Sajdah-e-Sahw

Sajdah-e-Sahw Some time when we forget in pray namaz then should be sijdah sahw. Here is describe about sijdah sahu, when it should be done and how to it will be done, its method is discuses in below. Sijdah Sahw: Kisi wajib ke choot jane ya wajib ya farz mein takhir yani ( der hojane ya kisi farz ko is ki jagah se hata kar pehle kar dene ya kisi farz ko do bara ada kar dene se sijdah sahu wajib ho jata hai aur is se bhul ki talafi ho jati hai. Agar qasadan aisa kare to sajdah sahu se kaam na chale ga balkeh namaz ka dohrana lazim hoga. Aur agar koi farz choot jaye to is ki talafi sijdah sahu se na hogi. Tareeqa Sijdah Sahu: Sijda-e-sahu ka tareeqa yah hai keh aakhir rikat mein abdohu wa rosulohu tak at-tahyat parh kar dahini taraf salam phir kar do sijda kare, har martabah sijdah ko jate huye Allahu Akbar kahe aur donon sijde kar ke baith jawe aur do barah puri at-tahyat aur is ke baad darud shareef aur dua parhe pir dono taraf slaam phair de. Namaz-e-Qasar: Jo shakhs 48

Namaz ki Sunnatain aur Mufsedat

Namaz ki Sunnatain aur Mufsedat Here is some sunnatain and mufsedat of namaz is describe in detail. Read carefully. Namaz ki Sunnatain aur Mufsedat: Yeh cheezen namaz mein sunnat hain 1. takbeer tahrimah ke waqt mardon ko donon hath kanon tak uthana aur auraton ko sine tak uthana 2. Mardon ko naaf ke niche aur aurtaon ko sine par hath bandhna 3. Sana aakhir tak parh na 4. Aauzobillah puri parhna. 5. Bismillah puri parhna 6. Aik rukun se dusre rukun ko muntaqil hone ke waqt Allahu Akber kehna 7. Ruku se uthte huye samiullahuleman hamd aur rabbana lakal hamd kehna 8. Ruku mein subhana rabbiul azeem kam se kam teen martabah kehna aur 9. Sijdah mein kam se kam teen martabah subhana rabbial aala kehna 10. Dono sijdon ke darmian aur attahyat ke liye mardon ko bayain paon par baithna aur sidhe payon khara karna aur auraton ko donon payon sidhi taraf nikal kar kulhon par baithna 11. Darud shareef parhna 12. Darud ke baad dua parhna 13. Salam ke waqt dayain bayai

Makruhat-e-Namaz

Makruhat-e-Namaz Something does not doing during namaz because these are makru for namaz. If someone done in pray namaz those things their prayer will not done. They should pray namaz. So be careful and read carefully which are not done during namaz. Namaz ke Mustahbaat: 1. Agar chadar urhe to kaanon tak hath uthane ke liye mardon ko chadar se hath nikalna 2. Jahan tak mumkin ho khansi ko rokna 3. Jamayi aaye to munh band karna 4. Khare hone ki halat mein sijdah ki jagah aur ruku mein qadmon par aur sijdon mein naak par aur qaadah(baithne) mein god mein aur salam ke waqt kandhon par nazar rakhna. Makruhat-e-Namaz: Yeh cheezen namaz mein makru hain 1. Kokh par hath rakhna 2. Aasteen se bahir hath nikale rakhna 3. Kapra sametna 4. Jism ya kapre se khailna 5. Ungliyan(finger) chatkhana 6. Dayain bayain garden morna 7. Mard ko jura gundh kar namaz parhna 8. Angrayi lena 9. Kutte ki tarah baithna 10. Mard ko sijde mein hath zameen par bichana 11. Sijde

Farz and Wajibat of Namaz

Farz and Wajibat of Namaz There are 14 farz in namaz in which some of them are must be doing before the namaz and some of them are doing during namaz. For prey namaz should be clean space where you prey namaz, clothes, body. More detail read in bellow in Urdu. Faraiz aur Wajibat-e-Namz: Namaz ke 14 farz hain jin mein se chand aise hain jin ka namaz se pehle ada karna zaruri hai aur in ko namaz ki sharait bhi kaha jata hai. aur chand faraiz aise hain jo dakhil namaz hain in sab ki fehrist yeh hai. 1. Badan ka pak hona 2. Kapron aur jaye namaz ka paak hona. 3. Satar aurat yani mardon ko naaf se ghutnon tak aur auraton ko chehre aur hathilion aur qadmon ke elawa tamam badan ka dhakna farz hai. 4. Namaz ki jagah ka paak hona. 5. Namaz ka waqt hona. 6. Qiblah ki taraf rukh yani khara hona. Namaz ki niyat karna yeh sab sharait hain. 7. Takbeer tahrimah 8. Qiam yani khara hona. 9. Qarat yani aik bari aayat ya teen choti aayatein ya aik choti surat parhna. 10. Ruku ka

Difference between women and men in prayer

Difference between women and men in prayer Women how to pray the same prayer as described how to pray Namaz. But few things are different in men and women of prayer which is written down. Read in detail in roman Urdu. Mard aur Aurat ki Namaz ka Farq: Aurat bhi isi tarah namaz parhein jaise namaz parhne ka tareeqa biyan kia gia hai lekin chand cheezon mein mard aur aurat ki namaz mein farq hai who niche likhi jati hai. Takbeer tahrimah ke waqt mardon ko chadar waghairah se hath nikal kar kanon tak uthana chahiye. Aur autaron ko har haal mein be ghair hath nikale huye kandhon tak uthana chahiye. Takbeer tahremah ke baad mardon ko naaf ke niche hath bandhna chahiye aur auraton ko sine par. Mardon ko dayain hath ki choti ungli (finger) aur anguthe (thumb) ka halqah bana kar bayein hath ki kalayi ko pakarna aur baaqi teen ungliyon ko bayein kalayi par bicha dena chahiye aur auraton ko dahini hathili bayein hathili ki pasht par rakhna chahiye. Mardon ki tarah halqah bana kar bayai
How to Witr Prayer Way of prayer witr is that after pray two rakat then sit down. Read at tahyat until abduhu wa rosulohu then stand up and Praise in the third rak'ah and exterior finishes and left hands to their ears saying Allah Akbar. The rule should recite the prayer Qonoot hands bound. Stay in prayer and then the rest should be. Nama Witr Parhne ka Tareeqa: Nama witr parhne ka tareeqa yeh hai keh do rekatein parh kar baith jaye aur abduhu wa rasuluhu tak at-tahyat parh kar khara ho jaye phir teesre rikat mein Al-hamd aur sura se farigh hokar Allahu Akbar kehta hua kanon tak hath uthaye aur phir qaidah ke mutabiq hath bandh kar duaye qunut parhe. Is ke baad ruku mein jaye aur baaqi namaz puri kare. Dua-e-Qonoot: How to Witr Prayer Way of prayer witr is that after pray two rakat then sit down. Read at tahyat until abduhu wa rosulohu then stand up and Praise in the third rak'ah and exterior finishes and left hands to their ears saying Allah Akbar. The rule shoul

How to Pray Namaz

How to Pray Namaz Should be wearing the holy garments for pray, Holy places do wazu and stand facing to kaba shareef and he intended to raise both hands to ears. Allah Akbar says and hands that could have tied under the navel. Put your Upper right hand and left hand down and did not look around. Be stand literature. Roman Urdu read detail below. Namaz Parhne ka Tareeqah: Namaz parhne ka tareeqa yeh hai keh paak kapre pehan kar paak jaga par bawazu qiblah ki taraf munh kar ke ghare ho aur namaz ki niyat kar ke donon hath kanon tak uthao aur Allahu Akbar keh kar hathon ko naaf ke niche bandh lo. Dahina (right) hath oper aur bayan(left) hath is ke niche rahe sidhe hath ke anguthe (thumb) aur changulyan se bayain hath ke gate ko pakar lo aur baaqi teen ungliyan(fingers) bayain (left) kalayi par bichi rahein. Namaz mein idhar udhar na dekho. Adab se khare raho. Khuda taala ki taraf dheyan rakho. Hath bandh kar sana aakhir tak parho. Phir tauz yani aauzubillah minash shaituanir rajim

Namaz ki Niyat

Namaz ki Niyat There is no namaz without intention. The intention of this prayer is obligatory plans and intentions of the heart. For example I would think that the heart of the four rak'ahs farz or sunnat will officiate If you read the prayer behind the Imam of his intention to make muqtdy. Read in detail in Urdu. Namaz ki Niyat: Koi namaz niyat ke beghair nahi hoti. Jo namaz parhni ho is ki niyat karna farz hai. Aur niyat dil ke iradah ka naam hai maslan dil mein iradah kare keh falan waqt ki namaz char rikat farz ya char rikat sunnat ada karta hon. Agar imama ke piche namaz parhna ho to is ka moqdadi hone ki bhi niyet kare. Zuban se niyat karna zaruri nahi lekin agar zuban se bhi niyat kar le to yeh bhi durust hai aur Arbi mein niyat karne bhi zaruri nahi apni madri zuban(language) mein niyat kar lein. Hum bator namuna do niyatain likte hain, baqi namazon ki niyat isi tarah kar lia karein. Zuhar ki Char Sunnaton ki Niyat: Niyat karta hon char rikat namaz sunnat zuhar

Namaz

Namaz Namaz is a special way of worship taught by Allah in the Holy Quran elucidated and explained practically by Prophet Muhammad (Peace be upon him). Fajir 4 Rakats 2 Sunnat 2 Farz Zuhr 12 Rakats 4 Sunnat 4 Farz 2 Sunnat 2 Nafal Asr 8 Takats 4 Sunnat 4 Farz Maghrib 7 Rakats 3 Farz 2 Sunnat 2 Nafal Isha 17 Rakats 4 Sunnat 4 Farz 2 Sunnat 2 Nafal 3 Witr ( Wajeb) 2 Nafal Juma Prayer: It is observed on every Friday. Namaz in Urdu: Namaz Islam ke Panch bunyadi arkan mein se aik hai. lughwi maine aur farma bardari ke hain. aik hadees sharif mein aya hai keh jis ne aik namaz na pari iss ke dil par aik siah dagh par gia. aur jitni namazain na parin utne hi siah dagh parte gaye. Quraan karim mein mutaddid jagah namaz qaim karne ka hukum aaya hai. yeh tuhfa meiraj nabwi hai. bawaqt meiraj pachas namazon ka tuhfa mila hai. jo jaldi hi ghat kar panch ra gayin. yeh farzi namazain hain. iske elawa do namazain fajir aur isha ke darmiani arse mein parhi jati hain. magar yeh

Tayammum

Tayammum The need for ablution or bathing water is allowed to do tayammum. Water use but it is a hard disease to be feared, Fear of the enemy or if the travel distance of a mile of water in the ablution and bathing take place. Here is describe method of tayamum and which is bad for tayamum. Tayamum: Jis ko wazu ya ghusal karne ki hajat ho aur pani nah mile ya pani to ho lekin is ke istemaal se sakht bimaari ho jane ka khof ya marz barh jane ya rassi dol yani kuwan (well) se pani nikalne ka saman mojud na ho ya dushman ka khof ho ya safar mein pani aik mile ke false par ho in sab suraton mein wazu aur ghusal ki jagah tayamum kar le. Tayamum ka Tareeqa: Tayamin mein niyat farz hai yani aw’wal yeh niyat kare keh mein napaki dur karne ke liye ya namaz parhne ke liye tayamum karta hon. Niyat ke baad donon hathon ki hathelyon ko fingers sameit paak mitti par mare phir hath jhar kar tamam munh par male aur jitna hissah munh ka wazu mein dhoya jata hai itne hisse par hath punchaye.

Wazu ka Farz

Wazu ka Farz There are 4 farz of wazu, 11 sunnah. Total information about wazu and namaz read in Urdu, Hindi and English. About farz, naqiz, sunnah of wazu is described in detail. Read in Roman Urdu. Farz | Sunnat | Mustahab | Mustahjat | Makruhat |Naqiz Wazu: Wazu ke Faraiz: Wazu mein char farz hain 1. Peshani ke baalon se le kar thori ke niche tak aur donon kanon ki lo tak munh dhona 2. Dono hath kehniyon sameit dhona. 3. Chothai sar ka masah karna. 4. Dono payon takhnon sameit dhona. Wazu ki Sunnatein: 1. Niyat karna. 2. Shoro mein bismillah parhna. 3. Pehle teen bar dono hath kalayi tak dhona 4. Phir teen bar kulli karna 5. Maswak karna, 6. Phir teen bar naak mein pani dalna. 7. Teen bar chehrah dhona. 8. Sare sar ka aur kanon ka masah karna. 9. Darhi aur ungliyon ka khalal karna. 10. Lagatar is tarah dhona keh pehla azu khushk nah hone paye aur dusra azu dhul jaye. 11. Tarteeb war dhona keh pehle munh dhoye phir kehniyon sameit hath dhoye phir sar ka masah

Method of Wazu

Method of Wazu This method is pure ablution in the holy vessels with pure water in place. If space is high then it is good. If facing the Qibla and good. Do sleeve upper Up to the elbow. Saying Bismillah" (In the name of Allah). Wash both hands up to the wrist three times. Put a handful of water into your mouth and rinse it thoroughly three times. Clean your nose by sniffing water into it and extract the water you just sniffed repeat the step 3 times. Then wash your face three times from right ear to left ear and from forehead to throat. Wash your right and left hand up to elbow three times. Touching gently finger and palm over your head from the top of forehead all the way to the back of the head and back. Do only one time. Pass the wet tips of your index fingers into the groves and holes of both ears and also pass the wet thumbs behind the ears (three times). At the end wash your feet to the ankles three times one by one first right and then left. Stand to Qibla direction an

Place of Hajj

Place of Hajj The important place of hajj are Baitullah, Moqam-e-Ibraheem, Hajre-Aswad, Hateem Kaaba, Safa Marwah, Masjid-e-Haram, Minaa, Arfat, Mazdalfah, Madina Taiyabah read in detail in Roman Urdu. Haj ke Ahum Moqamaat: Baitullah: Yeh hi who muqam hai jis ko baitullah Allah ka ghar kaha jata hai, is ka zikar Quran kareem mein Allah taala yun fermata hai, keh be shak sab se pehla ghar jo logon ki ibadat ke liye muqarrar hua who hai jo makkah mein hain barkat wala aur sare jahan ke liye rehnuma hai Moqam-e-Ibraheem Haram shareef ke moqaddas maqamat mein se moqam ibraheem is qadar azmat wala moqaam hai keh Quran kareem mein do jagah is ka zikar kia gia. Allah taala fermata hai Tarjuma: bana lo Ibrheem ke khare hone ki jagah ko jaye namaz. (Al-Baqrah) Tarjumah: is mein khuli nishanyan hein Ibraheem ke khare hone ki jagah hai (Al-Imran) Hajre-Aswad: Hajre Aswad bikul sufaid-o-chamakdar tha. Hamare gunahon ki siyahi ne isko siyah (black) kar dia. Hazrat ibne abbas ® ki

Tahajjud

Tahajjud Nawafil which is pray after the Isha Namaz, after awake from sleep in the night that namaz is called tahjjud. Night nawafil is better than day nawafil. Here is describe about Tahajjud Namaz in Urdu. Salatul Tahajjud: Jo nawafil isha ki namaz parhne ke baad raat so kar uthne ke baad parhe jaate hain un ko tahajjud kaha jata hai. Aur raat ke nawafil din ke nawafil se afzal hain. Sahi muslim mein marfu-an hai “ farzon ke baad afzal namaz raat ki namaz hai. Tahajjud ke Liye Sona Shart Hai: salatul lail ki aik qisam tahajjud hai keh isha ke baad raat mein so kar uthain aur nawafil parhain sone se qabal jo kuch parhain woh tahajjud nahi. Tahajjud ki Rikatain: Kum az kum tahajjud ki do rikatain hain aur hazrat Muhammad (SAW) se 8 tak sabit hain. Tahajjud ki Surtain: Aala Hazrat Molana Shah Ahmad Raza Khan(RA) farmate hain “ tahajjud mein ho sakay to jitna Quran yaad hai woh tamam parh lein. Warnah yeh bhi ho sakta hai keh har rikat mein surah fatiha ke baad teen te

Fasting in Islam

Fasting in Islam Fasting in Islam is to refrain from eating, drinking or having sexual intercourse for the sake of Allah from the break of dawn to sunset. The rule for Fasting is similar to Namaz and is Farz-e-Ain. Those who reject to believe it as obligatory (Farz) is a Kafir and those who miss it without genuine reason is a big sinner and will receive punishment in hell. Strong boys and girls should be forced to keep a fast. Read more detail in following in Urdu. Rozay ka Haq: Rozah aik aisi ibaadat hai jis ka badal koi dusri ibaadat nahi ho sakti hai. isi liye roze har ummat par farz huye hain. Allah tala ka irshad hai Iman walo! Tum par roze farz kiye gaye jis tarah tum se pehle logon par farz kiye gaye the takeh mutaqi aur par heiz gar ban jao (sura baqrah) Nabi Kareem (SAW) ne irshad farmaya: jis shakhs ne rozah rakh kar kabhi jhut bolna aur jhut par amal karna nah chora to khuda ko is se koi dilchaspi nahi keh woh bhuka aur paisa rehta hai.(Bukhari) Nabi kareem (SA

Masjid

Masjid People should be avoiding talking about the world in mosque. Don't laugh in Masjid. Here is describing about Masjid Mein Hansne ka Azaab, Masjid Mein Safayi Karne ka Sawab. Read about The benefits of the donation in Mosque. Masjid in Urdu: Masjid mein dunya ki baton se parhaiz kijye. Madari shareef mein hai keh rahmat-e-aalam Rasul (SAW) ka farman muazzam hai, “masjid mein dunya ki batain karna nekiyon ko is tarah kha jata hai, jis tarah chopayah ghas(GRASS) ko khajata hai”. Hazrat Muhammad (SAW) ka irshad-e-khusbu dar hai aik zamana aisa aaye ga keh masajid mein dunya ki batain hon gi tum un ke sath mat baitho keh un ko Allah taala se kuch kaam nahi. Han zaruratun dunya ki baat masjid mein kar sakta hai. Masjid Mein Hansne ka Azaab: Hazrat Muhammad (SAW) ka irshad-e-ibratnaak hain. “Masjid mein hansna qabar mein andhera lata hai” jab masjid mein hansne ka yeh haal hai to wahan qahqaha lagane ka kia haal hoga? Han masjid mein zaruratun muskurana mana nahi hai. Mus

Ba Jamat Namaz kay Fazail:

Ba Jamait Namaz Men should pray bajamait. Here is describing about benefit of bajamait namaz. Read in urdu. Ba Jamat Namaz kay Fazail: Allah taala ke fazal-o-karam se jahan be shumar inaam ata huye hain unhi inamaat mein se namaz bhi bila shubah Allah ka azeem-ul-shan inaam hai. keh is mein Allah ne hamare liye donon jahan ki bhalaiyan rakh di hain. Nez isi tarah jamat-e-namaz ki dolat bhi koi maamuli inaam nahi, yeh bhi hamare liye be shumar nekiyan hasil karne ka zareeyah hai. lehaza jamait ke fazail biyan kiye jate hain. Allah taala Quran majeed mein irshad fermata hai. “Aur ruku karne walon ke sath ruku karo”. Irshad farmate hain, jo koi Allah taala ke liye 40 din takbeer aola ke sath bajamayat namaz parhe. Us ke liye do aazadyan likh di jayain gi. Aik naar se dusri nefaaq se. Pachon namazain ba jamayat ada karne wale ke liye har aik namaz ke juda juda azeem-us-shaan fazail par mushtamil rawayat; Jab momin mard namaz-e-fajir ba jamayat ada karta hai to Allah taala us

Namaz na Parhne ka Azab

Namaz na Parhne ka Azab There fifteen punishment for not pray namaz. Six in the world, three at the time of death, three in Qabar and three also in Qabar. Read in detail in Roman Urdu. Namaz na Parhne ki 15 Sazayain: Jo namaz kay muaamlay mein susti barte ga. Allah use 15 qisam ki sazayain de ga. In mein 6 dunya mein, 3 mot ke waqt, 3 qabar aur 3 qabar se nikalne ke baad de ga. Dunya ki 6 Sazayain Yeh Hain: 1. Allah taala us ki umer se barkat zail kar dega. 2. Allah taala us ke chehre se neik logon jaisi nuranyat cheen le ga. 3. Allah taala us ke kisi amal ka ajar-o-sawab nahi de ga. 4. Us ki koi dua aasman tak buland nah hogi. 5. Allah taala logon ke samne use zaleel-o-khuar kare ga. 6. Naik logon ki dua mein us ka koi hissah na hoga. Mot ke Waqt 3 Sazayain: 1. Zaleel ho kar mare ga. 2. Bhuka mare ga. 3. Marte waqt etni sakht piaas lagegi keh agar use sare daryaon ka pani bhi pila dia jaye to piaas na jaye. Qabar ki Sazayain: 1. Us ki qabar tang kar di jaye gi

The Quran

The Quran The Quran literally meaning "the recitation"), It is regarded widely as the finest piece of literature in the Arabic language. The Quran is composed of verses (Ayah) that make up 114 chapters (suras) of unequal length which are classified either as Mecca or Madina depending upon their place and time of revelation. Muslims believe the Quran to be verbally revealed through angel Jibril (Gabriel) from God to Muhammad gradually over a period of approximately 23 years beginning in 610 CE, when Muhammad was 40, and concluding in 632 CE, the year of his death. Quran Kareem ki Pesh Goyian: Irshad bari taala hai aur hum ne tum par yeh Quran utara keh har cheez ka roshan biyan hai. Allah taala ne Quran pak mein irshad fermaya Aur koi dana nahi zameen ki andheron mein aur na koi tarawar aur na khushk jo aik roshan kitab mein likha na ho. (Anaam59) Is tarah aik jagah aur irshad farmaya- aur hum ne tum par yeh Quran utara keh har cheez ka roshan biyan hai. (Al-khel-89

Dua

Dua Here is some discription of dua. Read in detail in bellow in Roman Urdu. Dua in Urdu: Basa awqaat qabulyat dua ki takheer mein kafi maslahatain bhi hoti hain jo hamari samajh mein nahi aati hain. Hazrat Muhammad (SAW) ka farman aalishan hain jab Allah Taala ka koi pyara dua karta hai. Jibrail (AS) arz karte hain. Elaahi! “Tera bandah tujh se kuch maangta hai. Hokum hota hai, thehro! Abhi nah do. Takeh phir mangay keh mujh ko is ki aawaz pasand hai”. aur jab koi kafir-e-ya fasiq dua karta hai. Fermata hai, “is ka kaam jaldi karo, takeh phir na mangay keh mujh ko is ki aawaz makroh yani napasand hai”. Dua Teen Baaton se Khali Nahi Hoti: Hazrat Muhammad (SAW) farmate hain, dua banday ki teen baton se khali nahi hoti 1) ya us ka guanah bakhsha jata hai ya 2) usay faidah hasil hota hai. ya 3) us ke liye aakhrat mein bhalayi jama ki jati hai keh jab bandah aakhrat mein apni un duayon ka sawab dekhay ga jo dunya mein mustajaab (yani qabul) na huyi thi’n. Tamanna karay ga, kaa

Ramzan and The Quran

Ramzan and The Quran The Quran is the greatest book of Muslim. Muslims believe The Quran to be the book of divine guidance and direction for humanity and consider the text in its original Arabic to be the literal word of God. Muslims believe the Quran to be verbally revealed through angel Jibril (Gabriel) from God to Muhammad (SAW) gradually over a period of approximately 23 years beginning in 610 CE, when Muhammad (SAW) was 40, and concluding in 632 CE, the year of his death. Ramzan aur Quran: Ramzan mah Quran insane ki zindagi key liye hidayat Guideline hai. Insane ki zindagi ko aik makhsus tarz par istawar karne key liye Quran sirf ajmali asul hi nahi waza karta, balkeh insane ko makhsus tarz zindagi ikhtiyar karne wala aik khasusi insane jise “muslim” ka naam dia gia hai, banne key liye aik khas “training course” bhi waza karta hai. Degar ibadaat se munfarid yeh training course pure aik maah par mushtamil hai aur zindagi mein bar bar aane wala yeh training workshop ya refre

Namaz Eid-ul-Fitr

Namaz Eid-ul-Fitr Eid ul fitr and eid ul adha prayer is obligatory for men to give up his sin. Longest the journey described in the statement passed they are not allowed to attend prayers. When go to prayer for eid ul fitr should prey a low voice takbeer tashree and when go to for eid ul adha namaz then should pray a load voice tahbeer tashree. Takbeer tasree is here Allah hu Akbar Allah hu Akbar laa ilaha illallah Allah hu Akbar..Allah hu Akbar walil laail hamd Eid ka Biyan: Eid ke Ahkamaat: 1. Ghusal karna 2. Maswak karna 3. Apne paas jo kapre mojud hon in mein se sab se ache kapre pehanna magar mard aur larke resham ke kapre na pahne 4. Khushbu lagana 5. Eid gah mein jo aabadi se dur ho eid ki namaz parhna 6. Eid gah paidal jana 7. Aik raste se jana aur dusre raste se wapis aana 8. Eid ki namaz se pehle ghar mein ya eid gha mein nafil namaz na parhna ghar aakar parhe to kuch harj nahi. 9. Namaz eid-ul-fitr se pehle khajur ya koi mithi cheezen khana 10. Agar

Hajj

Hajj Hajj is obligatory once in a lifetime. The Hajj is the pilgrimage to Mecca, Saudi Arabia. It is the fifth pillar of Islam, a religious duty that must be carried out at least once in their lifetime by every able-bodied Muslim who can afford to do so. The Hajj is a demonstration of the solidarity of the Muslim people, and their submission to God (Allah in the Arabic language).The pilgrimage occurs from the 8th to 12th day of Zil-Hajj, the 12th and last month of the Islamic calendar. Those people who Allah has given wealth and he intended to take it every year. But he does not knows will survive or not until the next Hajj. So who's still on fortunately should be proud and thankful to God that this time was fortunate. Hajj Hajj zindagi mein aik martabah farz hai dur daraz ke mulkon mein rehne walon aam musalman bari mushkil aur bari aarzuon aur tamannayon ke baad in moqamaat haj tak puhanch pate hain aur jinhein Allah ne dolat di hia who chahe har saal yahan punchne ka irada

Ramazan

Ramazan Khana kaba is called the house of Allah same as Ramazan is called the month of Allah. There are four name of ramazan Mah Ramzan, Mah Sabar, Mah Wasyat-e-Rizq and Mah Muasaat. Here is describing about Ramaza in detail in Urdu. Ramazan in Urdu: Is maah Mubarak ke kul char naam hain:1. Mah Ramzan: is mahinah mein din raat Allah taala ki ibaadat hoti hai lehaza ise Shehr-e-Ramzan yani Allah ka mahina kaha jata hai. 2. Mah Sabar: Roza sabar hai jis ki jaza Rub hai aur woh isi mahine mein rakha jata hai is liye ise Mah-e-Sabar kehte hain. 3. Mah Muasaat: Muasaat ke maine hain bhalayi karna chun keh is mahine mein saare musalmanon se khaas kar ah-le Qarabat se bhalayi karna ziadah sawab hai. Is liye mah-e-moasaat kehte hain. 4. Mah Wasyat-e-Rizq: is mein rizq ki farakhi bhi hoti hai keh ghareeb bhi nematain kha lete hain. Isi liye is ka naam mah Wasyat-e-Rizq bhi hai. Jaise Masjid-e-Kaba ko Allah ka ghar kehte hain wahan Allah Taala ke hi kaam hote hain. Aise hi Ramaz

Roza

Roza There are five fundamental principles of Islam, they are the declaration of La-ila-ha-il-lal-la-hu mu-ham-ma-dur ra-sul-lah, prayers five times a dey,Roza (fast), Zakat and perform Haj at Makkah. Here is describing about Roza in detail in Urdu. Roza in Urdu: Roza Farz Hone ki Wajah: Islam mein aksar amal kisi na kisi ruh parwar waqiyah ki yaad taza karne ke liye moqarrar kiye gaye hain. Maslan safa aur marwah ke darmiyan hajiyon ki sayi hazrat Syadana Hajrah(R.A) ke in ki donon paharon ke darmiyan sayi ki yaad ko tazah karte hain. Aap ne apne lakhte jigar Hazrat-e-Syadana Ismaeel (AS) ke liye pani talash karne ke liye in donon paharon ke darmiyan sayi ki thi. Allah ko Hazrat-e-Syadana ki yeh ada pasand aagayi. Lehaza isi sunnat-e-Hajrah ko Allah Taala ne baqi rakhte huye hajiyon ke liye safa marwa ki sayi ko lazmi qarar de dia. Isi tarah ayam Ramazan mein se kuch din hamare pyare nabi Hazrat Muhammad (SAW) ne ghar-e-Hira mein guzare the. In dinon mein aap din ko khane se p