Tayammum
The need for ablution or bathing water is allowed to do tayammum. Water use but it is a hard disease to be feared, Fear of the enemy or if the travel distance of a mile of water in the ablution and bathing take place. Here is describe method of tayamum and which is bad for tayamum.
Tayamum:
Jis ko wazu ya ghusal karne ki hajat ho aur pani nah mile ya pani to ho lekin is ke istemaal se sakht bimaari ho jane ka khof ya marz barh jane ya rassi dol yani kuwan (well) se pani nikalne ka saman mojud na ho ya dushman ka khof ho ya safar mein pani aik mile ke false par ho in sab suraton mein wazu aur ghusal ki jagah tayamum kar le.
Tayamum ka Tareeqa:
Tayamin mein niyat farz hai yani aw’wal yeh niyat kare keh mein napaki dur karne ke liye ya namaz parhne ke liye tayamum karta hon. Niyat ke baad donon hathon ki hathelyon ko fingers sameit paak mitti par mare phir hath jhar kar tamam munh par male aur jitna hissah munh ka wazu mein dhoya jata hai itne hisse par hath punchaye. Phir do barah isi tarah mitti par hath mar kar hathon ko kehniyon tak male aur fingers ka khelal bhi kare. Wazu aur ghusal ke tayamum mein koi farq nahi hai. Aur jitni paki wazu aur ghusal se hoti hai otni tayamum se bhi ho jati hai. Agar 20 saal bhi pani na mile to tayamum karta rahe.
Naqis Tyamum:
Jo cheezen wazu ko tor deti hain in se tayamum bhi tut jata hai. Pani ka milna aur is ke istemaal par qaadir hona bhi tayamum ko tor deta hai.
Note: Agar kisi par ghusal farz hai to wazu aur ghusal ke liye aik hi tayamum kafi hai. wazu aur ghusal ki niyat kar ke alag alag do martabah tayamum karna lazmi nahi.

Comments
Post a Comment