Roza There are five fundamental principles of Islam, they are the declaration of La-ila-ha-il-lal-la-hu mu-ham-ma-dur ra-sul-lah, prayers five times a dey,Roza (fast), Zakat and perform Haj at Makkah. Here is describing about Roza in detail in Urdu. Roza in Urdu: Roza Farz Hone ki Wajah: Islam mein aksar amal kisi na kisi ruh parwar waqiyah ki yaad taza karne ke liye moqarrar kiye gaye hain. Maslan safa aur marwah ke darmiyan hajiyon ki sayi hazrat Syadana Hajrah(R.A) ke in ki donon paharon ke darmiyan sayi ki yaad ko tazah karte hain. Aap ne apne lakhte jigar Hazrat-e-Syadana Ismaeel (AS) ke liye pani talash karne ke liye in donon paharon ke darmiyan sayi ki thi. Allah ko Hazrat-e-Syadana ki yeh ada pasand aagayi. Lehaza isi sunnat-e-Hajrah ko Allah Taala ne baqi rakhte huye hajiyon ke liye safa marwa ki sayi ko lazmi qarar de dia. Isi tarah ayam Ramazan mein se kuch din hamare pyare nabi Hazrat Muhammad (SAW) ne ghar-e-Hira mein guzare the. In dinon mein aap din ko khane se p...