Place of Hajj The important place of hajj are Baitullah, Moqam-e-Ibraheem, Hajre-Aswad, Hateem Kaaba, Safa Marwah, Masjid-e-Haram, Minaa, Arfat, Mazdalfah, Madina Taiyabah read in detail in Roman Urdu. Haj ke Ahum Moqamaat: Baitullah: Yeh hi who muqam hai jis ko baitullah Allah ka ghar kaha jata hai, is ka zikar Quran kareem mein Allah taala yun fermata hai, keh be shak sab se pehla ghar jo logon ki ibadat ke liye muqarrar hua who hai jo makkah mein hain barkat wala aur sare jahan ke liye rehnuma hai Moqam-e-Ibraheem Haram shareef ke moqaddas maqamat mein se moqam ibraheem is qadar azmat wala moqaam hai keh Quran kareem mein do jagah is ka zikar kia gia. Allah taala fermata hai Tarjuma: bana lo Ibrheem ke khare hone ki jagah ko jaye namaz. (Al-Baqrah) Tarjumah: is mein khuli nishanyan hein Ibraheem ke khare hone ki jagah hai (Al-Imran) Hajre-Aswad: Hajre Aswad bikul sufaid-o-chamakdar tha. Hamare gunahon ki siyahi ne isko siyah (black) kar dia. Hazrat ibne abbas ® ki ...