Skip to main content

Ramazan

Ramazan

Khana kaba is called the house of Allah same as Ramazan is called the month of Allah. There are four name of ramazan Mah Ramzan, Mah Sabar, Mah Wasyat-e-Rizq and Mah Muasaat. Here is describing about Ramaza in detail in Urdu.

Ramazan in Urdu:


Is maah Mubarak ke kul char naam hain:1. Mah Ramzan: is mahinah mein din raat Allah taala ki ibaadat hoti hai lehaza ise Shehr-e-Ramzan yani Allah ka mahina kaha jata hai.
2. Mah Sabar: Roza sabar hai jis ki jaza Rub hai aur woh isi mahine mein rakha jata hai is liye ise Mah-e-Sabar kehte hain.
3. Mah Muasaat: Muasaat ke maine hain bhalayi karna chun keh is mahine mein saare musalmanon se khaas kar ah-le Qarabat se bhalayi karna ziadah sawab hai. Is liye mah-e-moasaat kehte hain.
4. Mah Wasyat-e-Rizq: is mein rizq ki farakhi bhi hoti hai keh ghareeb bhi nematain kha lete hain. Isi liye is ka naam mah Wasyat-e-Rizq bhi hai.


Jaise Masjid-e-Kaba ko Allah ka ghar kehte hain wahan Allah Taala ke hi kaam hote hain. Aise hi Ramazan Allah ka mahina hai keh is mahine mein Allah Taala ke hi kaam hote hain. Rozah taraweeh waghairah to hain hi Allah Taala ke. Magar bahalat-e-rozah jo jaiz nokri aur jaiz business waghairah ki jati hai woh bhi Allah Taala ke kaam qarar pate hain. Is liye is maah ka naam ramzan yani Allah ka mahina hai.

Hazrat Muhammad (SAW) ka farman-e-aalishan hai keh jab mah-e-Ramzan ki pehli raat aati hai to aasmano’n aur jannat ke darwaze khol diye jate hain aur aakhir raat tak bun nahi hote. Jo koi ban-dah is mah-e-mubarak ki kisi bhi raat mein namaz parhta hai to Allah Taaal us ke har sijdah ke ewaz (yani badlah mein) us ke liys 1700 nekiyan likhta hai aur us ke liye jannat mein surkh yaaqut ka ghar banata hai. jis mein 70000 darwaze hon gay. Aur har darwaze ke donon pat sone ke bane hon gay jin mein yaqut surkh jare hon gay. Pas jo koi Mah-e-Ramzan ka pehla rozah rakhta hai to Allah taala mahine ke aakhir din tak us ke gunah muaaf farma deta hai.

Dusre ramzan tak us ke liye kuffarah ho jata hai aur har woh din jis mein yeh rozah rakhe ga us har rozah ke badle mein use aik hazar sone ke darwazon wala mehal jannat mein ata hoga aur us ke liye subbah se shaam tak 70000 farishte duayein maghfarat karte rahein gay. Raat aur din mein jab bhi woh sijdah karay ga us har sijdah ke ewaz (yani badle) use (jannat mein) aik aik aisa darakht ata kare ga keh agar uske niche aik ghoray (horse) sawar 100 saal tak bhi chale to bhir bhi us aik darakht ke dusre siray tak na puhanch sake.

Hadees ke mutabiq Ramzan-ul-Mubarak ki raaton mein namaz ada karne wale ko har aik sijdha ke badle mein 1700 nekiyan ata ki jati hain.

Sarkar do aalam (SAW) ne irshad farmaya “ rozah dhal hai. Jis tarah dhal talwaar ke waar ko rokti hai isi tarah rozah bhi jahannam ki aag-o-azaab se rozah-dar ka bachao karta hai. Qiyamat mein jab dozakh gunahgar par hamlah aawar hogi to muhkam hoga jo log roza dar mare hain kahan hain? Jab woh samne jayain gay to dozakh un ki bu pehchaan kar 40 baras ke faasle par un se dur hut jaye gi.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz na Parhne ka Azab

Namaz na Parhne ka Azab There fifteen punishment for not pray namaz. Six in the world, three at the time of death, three in Qabar and three also in Qabar. Read in detail in Roman Urdu. Namaz na Parhne ki 15 Sazayain: Jo namaz kay muaamlay mein susti barte ga. Allah use 15 qisam ki sazayain de ga. In mein 6 dunya mein, 3 mot ke waqt, 3 qabar aur 3 qabar se nikalne ke baad de ga. Dunya ki 6 Sazayain Yeh Hain: 1. Allah taala us ki umer se barkat zail kar dega. 2. Allah taala us ke chehre se neik logon jaisi nuranyat cheen le ga. 3. Allah taala us ke kisi amal ka ajar-o-sawab nahi de ga. 4. Us ki koi dua aasman tak buland nah hogi. 5. Allah taala logon ke samne use zaleel-o-khuar kare ga. 6. Naik logon ki dua mein us ka koi hissah na hoga. Mot ke Waqt 3 Sazayain: 1. Zaleel ho kar mare ga. 2. Bhuka mare ga. 3. Marte waqt etni sakht piaas lagegi keh agar use sare daryaon ka pani bhi pila dia jaye to piaas na jaye. Qabar ki Sazayain: 1. Us ki qabar tang kar di jaye gi

Sarmaya e hayat hai seerat rasool ki

سرمایہ حیات ہے سِیرت رسول ﷺ کی اسرارِ کائنات ہے سِیرت رسول ﷺ کی پُھولوں میں ہے ظہُور ستاروں میں نُور ہے ذاتِ خُدا کی بات ہے سِیرت رسول ﷺ کی بنجر دِلوں کو آپ نے سیراب کردیا اِک چشمہ صفات ہے سِیرت رسول ﷺ کی چشمِ کلیم ایک تجلّی میں بِک گئی جلووں کی واردات ہے سیرت رسول ﷺ کی جور و جفا کے واسطے برقِ ستم سہے دُنیائے التفات ہے سیرت رسول ﷺ کی تصویر زندگی کو تکلّم عطا کیا حُسنِ تصّورات ہے سیرت رسول ﷺ کی ساغرؔ سرور و کیف کے ساغر چھلک اُٹھے صبحِ تجلّیات ہے سیرت رسول ﷺ کی (ساغر صدیقی )

Namaz ki Niyat

Namaz ki Niyat There is no namaz without intention. The intention of this prayer is obligatory plans and intentions of the heart. For example I would think that the heart of the four rak'ahs farz or sunnat will officiate If you read the prayer behind the Imam of his intention to make muqtdy. Read in detail in Urdu. Namaz ki Niyat: Koi namaz niyat ke beghair nahi hoti. Jo namaz parhni ho is ki niyat karna farz hai. Aur niyat dil ke iradah ka naam hai maslan dil mein iradah kare keh falan waqt ki namaz char rikat farz ya char rikat sunnat ada karta hon. Agar imama ke piche namaz parhna ho to is ka moqdadi hone ki bhi niyet kare. Zuban se niyat karna zaruri nahi lekin agar zuban se bhi niyat kar le to yeh bhi durust hai aur Arbi mein niyat karne bhi zaruri nahi apni madri zuban(language) mein niyat kar lein. Hum bator namuna do niyatain likte hain, baqi namazon ki niyat isi tarah kar lia karein. Zuhar ki Char Sunnaton ki Niyat: Niyat karta hon char rikat namaz sunnat zuhar