Skip to main content

Wazu ka Farz

Wazu ka Farz

There are 4 farz of wazu, 11 sunnah. Total information about wazu and namaz read in Urdu, Hindi and English. About farz, naqiz, sunnah of wazu is described in detail. Read in Roman Urdu.

Farz | Sunnat | Mustahab | Mustahjat | Makruhat |Naqiz Wazu:
Wazu ke Faraiz:
Wazu mein char farz hain
1. Peshani ke baalon se le kar thori ke niche tak aur donon kanon ki lo tak munh dhona
2. Dono hath kehniyon sameit dhona.
3. Chothai sar ka masah karna.
4. Dono payon takhnon sameit dhona.

Wazu ki Sunnatein:

1. Niyat karna.
2. Shoro mein bismillah parhna.
3. Pehle teen bar dono hath kalayi tak dhona
4. Phir teen bar kulli karna
5. Maswak karna,
6. Phir teen bar naak mein pani dalna.
7. Teen bar chehrah dhona.
8. Sare sar ka aur kanon ka masah karna.
9. Darhi aur ungliyon ka khalal karna.
10. Lagatar is tarah dhona keh pehla azu khushk nah hone paye aur dusra azu dhul jaye.
11. Tarteeb war dhona keh pehle munh dhoye phir kehniyon sameit hath dhoye phir sar ka masah kare phir payon dhoye.

Mustahjat-e-Wazu:
1. Qiblah rukh hokar baithna.
2. Mal kar dhona.
3. Dahini taraf se shoro karna.
4. Bacha hua pani khre ho kar pina.
5. Dusre se madad na lena.
6. Mustahab ke choot jane se wazu to ho jata hai magar mustahab ka jo sawab hai woh nahi milta aur mustahab ka darjah sunnat se kam hai.

Makruhat Wazu:
1. Napaak jagah wazu karna.
2. Sidhe hath se naak saaf karna.
3. Pani ziadah bahana.
4. Wazu karte waqt dunya ki batein karna.
5. Khelaf sunnat wazu karna.
6. Zor se chapke marna.

Naqiz Wazu:
In cheezon se wazu tut jata hai.
1. Pakhanah ya peeshab karna ya hawa kharij hona.
2. Khoon ya peep nikal kar beh jana.
3. Munh bhar qai hona.
4. Teek laga kar ya leit kar sona.
5. Nesha mein mast ya be hosh ho jana.
6. Ruku sijdah wali namaz mein qahqaha mar kar hansna.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz na Parhne ka Azab

Namaz na Parhne ka Azab There fifteen punishment for not pray namaz. Six in the world, three at the time of death, three in Qabar and three also in Qabar. Read in detail in Roman Urdu. Namaz na Parhne ki 15 Sazayain: Jo namaz kay muaamlay mein susti barte ga. Allah use 15 qisam ki sazayain de ga. In mein 6 dunya mein, 3 mot ke waqt, 3 qabar aur 3 qabar se nikalne ke baad de ga. Dunya ki 6 Sazayain Yeh Hain: 1. Allah taala us ki umer se barkat zail kar dega. 2. Allah taala us ke chehre se neik logon jaisi nuranyat cheen le ga. 3. Allah taala us ke kisi amal ka ajar-o-sawab nahi de ga. 4. Us ki koi dua aasman tak buland nah hogi. 5. Allah taala logon ke samne use zaleel-o-khuar kare ga. 6. Naik logon ki dua mein us ka koi hissah na hoga. Mot ke Waqt 3 Sazayain: 1. Zaleel ho kar mare ga. 2. Bhuka mare ga. 3. Marte waqt etni sakht piaas lagegi keh agar use sare daryaon ka pani bhi pila dia jaye to piaas na jaye. Qabar ki Sazayain: 1. Us ki qabar tang kar di jaye gi...

Sarmaya e hayat hai seerat rasool ki

سرمایہ حیات ہے سِیرت رسول ﷺ کی اسرارِ کائنات ہے سِیرت رسول ﷺ کی پُھولوں میں ہے ظہُور ستاروں میں نُور ہے ذاتِ خُدا کی بات ہے سِیرت رسول ﷺ کی بنجر دِلوں کو آپ نے سیراب کردیا اِک چشمہ صفات ہے سِیرت رسول ﷺ کی چشمِ کلیم ایک تجلّی میں بِک گئی جلووں کی واردات ہے سیرت رسول ﷺ کی جور و جفا کے واسطے برقِ ستم سہے دُنیائے التفات ہے سیرت رسول ﷺ کی تصویر زندگی کو تکلّم عطا کیا حُسنِ تصّورات ہے سیرت رسول ﷺ کی ساغرؔ سرور و کیف کے ساغر چھلک اُٹھے صبحِ تجلّیات ہے سیرت رسول ﷺ کی (ساغر صدیقی )