Skip to main content

How to Pray Namaz

How to Pray Namaz

Should be wearing the holy garments for pray, Holy places do wazu and stand facing to kaba shareef and he intended to raise both hands to ears. Allah Akbar says and hands that could have tied under the navel. Put your Upper right hand and left hand down and did not look around. Be stand literature. Roman Urdu read detail below.

Namaz Parhne ka Tareeqah:

Namaz parhne ka tareeqa yeh hai keh paak kapre pehan kar paak jaga par bawazu qiblah ki taraf munh kar ke ghare ho aur namaz ki niyat kar ke donon hath kanon tak uthao aur Allahu Akbar keh kar hathon ko naaf ke niche bandh lo. Dahina (right) hath oper aur bayan(left) hath is ke niche rahe sidhe hath ke anguthe (thumb) aur changulyan se bayain hath ke gate ko pakar lo aur baaqi teen ungliyan(fingers) bayain (left) kalayi par bichi rahein.

Namaz mein idhar udhar na dekho. Adab se khare raho. Khuda taala ki taraf dheyan rakho. Hath bandh kar sana aakhir tak parho. Phir tauz yani aauzubillah minash shaituanir rajim aur phir tasmia yani bismillah shareef pura parh kar Alhamd shareef parho. Al-hamd shareef khatm kar ek aahishta se aameen kaho phir koi surat ya chand aayat parho phir Allahu Akbar keh kar ruku ke liye jhuko. Roku mein donon hatho se ghutno ko pakar lo, ruku ki tasbih yani subhana rabbi-al-azeem. Teen ya panch martaba parho, phir tasme yani sami-ulla hulemand hameda. Kehte huye sidhe khare ho jao aur is ke baad tahmeed yani rabbana lakalhamd parho. Phir takbeer kehte huye sijde mein is tarah jaao keh pehle donon ghutne zameen par rakho. Phir donon hath rakh phir donon hathon ke beech mein pehle naak, phir peshni zameen par rakho phir sijde ki tasbeeh yani subhana rabbiul aala.

Teen ya panch martabah kaho. Phir takbeer kehte huye utho aur sedhe baith jao. Phir takbeer kehte huye dusre sijde mein jaao aur isi tarah sijdah karo jaisa abhi bataya, phir takbeer kehte huye khare ho jaao. Uthte waqt zameen par hath na teko. Donon sijdon tak aik rakyat puri ho gayi.

Ab dusri rikyat shoro huyi. Is mein tauz nahi hai. sirf tasmiya parh kar Al-Hamd shareef parho. Is ke baad koi sura milao ya chand aayat parho. Phir ruku, qomah aur donon sijde kar ke uth kar baith jaao aur pehle tash-hud yani At-tahyat parho phir darud shareef phir dua parho phir salam phero, pehle dahini taraf phir bayain taraf salam phirte waqt dahini taraf aur bayain taraf munh mor lo aur kandhon par nazar rakho. Yeh do rikyat namaz puri ho gayi.

Agar teen ya char rikyat wali namaz parhna ho to do rikat par baith kar sirf Abdahu wa rasulohu tak tah-yat parho. Is ke baad foran takbeer kehte huye khare ho jaao. Aur tasmiyah Al-hamd shareef aur surat parh kar ruku sijde karo. Agar teen rikyat parhna hoto baith kar at-tahyat darud shareef aur dua parh kar salam pher do. Aur agar char rikyat parhna hoto teesri rikyat parh kar na baitho balkeh aur chothi rikat yani tasmiyah Al-hamd shareef aur surat parh kar ruku sijde kar ke baith jaao aur at-tahyat phir darud shareef aur dua parh kar dono taraf salam pher do.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz na Parhne ka Azab

Namaz na Parhne ka Azab There fifteen punishment for not pray namaz. Six in the world, three at the time of death, three in Qabar and three also in Qabar. Read in detail in Roman Urdu. Namaz na Parhne ki 15 Sazayain: Jo namaz kay muaamlay mein susti barte ga. Allah use 15 qisam ki sazayain de ga. In mein 6 dunya mein, 3 mot ke waqt, 3 qabar aur 3 qabar se nikalne ke baad de ga. Dunya ki 6 Sazayain Yeh Hain: 1. Allah taala us ki umer se barkat zail kar dega. 2. Allah taala us ke chehre se neik logon jaisi nuranyat cheen le ga. 3. Allah taala us ke kisi amal ka ajar-o-sawab nahi de ga. 4. Us ki koi dua aasman tak buland nah hogi. 5. Allah taala logon ke samne use zaleel-o-khuar kare ga. 6. Naik logon ki dua mein us ka koi hissah na hoga. Mot ke Waqt 3 Sazayain: 1. Zaleel ho kar mare ga. 2. Bhuka mare ga. 3. Marte waqt etni sakht piaas lagegi keh agar use sare daryaon ka pani bhi pila dia jaye to piaas na jaye. Qabar ki Sazayain: 1. Us ki qabar tang kar di jaye gi...

Sarmaya e hayat hai seerat rasool ki

سرمایہ حیات ہے سِیرت رسول ﷺ کی اسرارِ کائنات ہے سِیرت رسول ﷺ کی پُھولوں میں ہے ظہُور ستاروں میں نُور ہے ذاتِ خُدا کی بات ہے سِیرت رسول ﷺ کی بنجر دِلوں کو آپ نے سیراب کردیا اِک چشمہ صفات ہے سِیرت رسول ﷺ کی چشمِ کلیم ایک تجلّی میں بِک گئی جلووں کی واردات ہے سیرت رسول ﷺ کی جور و جفا کے واسطے برقِ ستم سہے دُنیائے التفات ہے سیرت رسول ﷺ کی تصویر زندگی کو تکلّم عطا کیا حُسنِ تصّورات ہے سیرت رسول ﷺ کی ساغرؔ سرور و کیف کے ساغر چھلک اُٹھے صبحِ تجلّیات ہے سیرت رسول ﷺ کی (ساغر صدیقی )

Namaz ki Niyat

Namaz ki Niyat There is no namaz without intention. The intention of this prayer is obligatory plans and intentions of the heart. For example I would think that the heart of the four rak'ahs farz or sunnat will officiate If you read the prayer behind the Imam of his intention to make muqtdy. Read in detail in Urdu. Namaz ki Niyat: Koi namaz niyat ke beghair nahi hoti. Jo namaz parhni ho is ki niyat karna farz hai. Aur niyat dil ke iradah ka naam hai maslan dil mein iradah kare keh falan waqt ki namaz char rikat farz ya char rikat sunnat ada karta hon. Agar imama ke piche namaz parhna ho to is ka moqdadi hone ki bhi niyet kare. Zuban se niyat karna zaruri nahi lekin agar zuban se bhi niyat kar le to yeh bhi durust hai aur Arbi mein niyat karne bhi zaruri nahi apni madri zuban(language) mein niyat kar lein. Hum bator namuna do niyatain likte hain, baqi namazon ki niyat isi tarah kar lia karein. Zuhar ki Char Sunnaton ki Niyat: Niyat karta hon char rikat namaz sunnat zuhar...