Skip to main content

Ramzan and The Quran

Ramzan and The Quran

The Quran is the greatest book of Muslim. Muslims believe The Quran to be the book of divine guidance and direction for humanity and consider the text in its original Arabic to be the literal word of God. Muslims believe the Quran to be verbally revealed through angel Jibril (Gabriel) from God to Muhammad (SAW) gradually over a period of approximately 23 years beginning in 610 CE, when Muhammad (SAW) was 40, and concluding in 632 CE, the year of his death.

Ramzan aur Quran:

Ramzan mah Quran insane ki zindagi key liye hidayat Guideline hai. Insane ki zindagi ko aik makhsus tarz par istawar karne key liye Quran sirf ajmali asul hi nahi waza karta, balkeh insane ko makhsus tarz zindagi ikhtiyar karne wala aik khasusi insane jise “muslim” ka naam dia gia hai, banne key liye aik khas “training course” bhi waza karta hai.

Degar ibadaat se munfarid yeh training course pure aik maah par mushtamil hai aur zindagi mein bar bar aane wala yeh training workshop ya refresher workshop ya refresher course saal key 8 % se ziadah waqt par mushtamil hai yani zindagi key kul waqt ka 8 % se zaid is khasusi workshop par mushtamil hai. Baqyah ibadaat namaz, zakaat aur haj waghairah apne tor par insane ki tarbiyat kate hain.

Quran is 8% awqaat ka markazi hisah hai. isi mah ramzan mein Quran nazil hua. Isi mein is ki bar bar talawat, mamul ki namazon, qiaam-ul-lail, witr tarawih is par ghor tadabbur is par guftagu is key amli pehluyon par baat cheet aur tazkarah, is key nefaz ki amli tadabeer aur apni zindagi ka is ki roshni mein jaizah is ka lazmi hissah hona hi chahiye aur dar asal hai bhi.

Quaran jis tarah ka insane tashkil dena chahta hai, is ki bunyaad khof khuda ka insane mein ruch bas jata hai.

Hazrat Molana Ashraf Ali Thanwi Farmate hain. “khof paida karne ka tareeqah hai keh “tum mein se har aik yeh sonche keh kal key liye kia kia hai? yani fikar aakhrat kia karo yani yeh soncha karo keh miyaad kia hai aur mar kar kia pesh aane wala hai. Marne se le kar jannat mein dakhil hone tak key jo waqiyaat hone wale hain sab ko soncha karo keh aik din who aaye ga keh mera is dar fani se kuch hoga. Sab saman, maal-o-asbaab, baagh, nokar chakar, aulaad, beta beti, maan baap, bhayi behan, azeez-o-aqareeb aur dost dushman sab hi rah jayain gay. Tan tanha sab ko chor kar qabar key garhay mein ja leton ga aur farishte aayain gay. Agar mere din bhale hain to achi surat mein warnah khuda na khuastah darauni surat mein”.

Yeh khof dil mein rasikh karne key liye Quran mein dunya ki haqiqat, dunya-o-aakhrat ki haisyat aur zindagi ki tarjihaat ki tazker aur yad-dehani jitni zaruri hai is ka andazah aap kar saktay hain. Ramzaan mein is tazkaray key moqaa bhar pur hain. Goya, nakiyon ka mosam bahar hai. Ab aap jitna chahain Allah se talluq mazbut karne kay liye is bahar se jitna chahain mustafeed hon. Ajar-o-sawab aur tamer-e-kirdar key mawaqai ka aik darya rawan hai. Aap jitna chahain seraab hon.

Aap dekhte hain keh Ramzan-ul-Mubarak mein namaz, sadqaat aur amumi ghamkhuari ka aik mahol hai. Jis mein shirkat aasan ho jati hai. isi tarah ka aik matlubah mahol hai. Is mah mein hasbe tofeeq ise hasil karne ki koshish ki jani chahiye.

Haqiqat yeh hai keh agar Musalman ki zindagi guzarni hai to yeh Quran key saye mein hi guzari ja sakti hai.

Ramzan-ul-mobarak ki khasusi fazayon mein is haqiqat ko jis qadar apne andar jazb kia ja sakta hai, baqyah dinon mein itna aasan nahi. Lehaza aayiyeh hum is maah Ramzan aur Mah Quran mein Quran hakeem ko apni zindagi ka juz bana nay kay mashq kar lein aur apne afkar aur aamal par hawi falsafah ki haisyat say apna rehnuma aur imam bana lein.

Sarkar do aalam (SAW) ka isrshad hai
“Mein tuharay darmian do cheezain choray jar raha hon, aik kitab Allah aur dusri meri sunnat. In se juray raho gay to hidayat par raho gay.

Hazrat Abdullah bin abbas biyan karte hain:

Ramzan mein har raat jibrail (AS) aap (SAW) se mulaqaat kartay aur nabi kareem (SAW) in kay samne Quran parhte the”

Allah taala hamein ramzaan aur mah Quran ko is ki haqiqi ruh key mutabiq guzarne ki salahiyat ata farmaye. Apne aap ko Allah ki hidayat key mutabiq chalne aur apni zindagiyon ko Quran se mannawar karne ki tofeeq ata farmayain.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz na Parhne ka Azab

Namaz na Parhne ka Azab There fifteen punishment for not pray namaz. Six in the world, three at the time of death, three in Qabar and three also in Qabar. Read in detail in Roman Urdu. Namaz na Parhne ki 15 Sazayain: Jo namaz kay muaamlay mein susti barte ga. Allah use 15 qisam ki sazayain de ga. In mein 6 dunya mein, 3 mot ke waqt, 3 qabar aur 3 qabar se nikalne ke baad de ga. Dunya ki 6 Sazayain Yeh Hain: 1. Allah taala us ki umer se barkat zail kar dega. 2. Allah taala us ke chehre se neik logon jaisi nuranyat cheen le ga. 3. Allah taala us ke kisi amal ka ajar-o-sawab nahi de ga. 4. Us ki koi dua aasman tak buland nah hogi. 5. Allah taala logon ke samne use zaleel-o-khuar kare ga. 6. Naik logon ki dua mein us ka koi hissah na hoga. Mot ke Waqt 3 Sazayain: 1. Zaleel ho kar mare ga. 2. Bhuka mare ga. 3. Marte waqt etni sakht piaas lagegi keh agar use sare daryaon ka pani bhi pila dia jaye to piaas na jaye. Qabar ki Sazayain: 1. Us ki qabar tang kar di jaye gi

Sarmaya e hayat hai seerat rasool ki

سرمایہ حیات ہے سِیرت رسول ﷺ کی اسرارِ کائنات ہے سِیرت رسول ﷺ کی پُھولوں میں ہے ظہُور ستاروں میں نُور ہے ذاتِ خُدا کی بات ہے سِیرت رسول ﷺ کی بنجر دِلوں کو آپ نے سیراب کردیا اِک چشمہ صفات ہے سِیرت رسول ﷺ کی چشمِ کلیم ایک تجلّی میں بِک گئی جلووں کی واردات ہے سیرت رسول ﷺ کی جور و جفا کے واسطے برقِ ستم سہے دُنیائے التفات ہے سیرت رسول ﷺ کی تصویر زندگی کو تکلّم عطا کیا حُسنِ تصّورات ہے سیرت رسول ﷺ کی ساغرؔ سرور و کیف کے ساغر چھلک اُٹھے صبحِ تجلّیات ہے سیرت رسول ﷺ کی (ساغر صدیقی )

Namaz ki Niyat

Namaz ki Niyat There is no namaz without intention. The intention of this prayer is obligatory plans and intentions of the heart. For example I would think that the heart of the four rak'ahs farz or sunnat will officiate If you read the prayer behind the Imam of his intention to make muqtdy. Read in detail in Urdu. Namaz ki Niyat: Koi namaz niyat ke beghair nahi hoti. Jo namaz parhni ho is ki niyat karna farz hai. Aur niyat dil ke iradah ka naam hai maslan dil mein iradah kare keh falan waqt ki namaz char rikat farz ya char rikat sunnat ada karta hon. Agar imama ke piche namaz parhna ho to is ka moqdadi hone ki bhi niyet kare. Zuban se niyat karna zaruri nahi lekin agar zuban se bhi niyat kar le to yeh bhi durust hai aur Arbi mein niyat karne bhi zaruri nahi apni madri zuban(language) mein niyat kar lein. Hum bator namuna do niyatain likte hain, baqi namazon ki niyat isi tarah kar lia karein. Zuhar ki Char Sunnaton ki Niyat: Niyat karta hon char rikat namaz sunnat zuhar