Skip to main content

The Quran

The Quran

The Quran literally meaning "the recitation"), It is regarded widely as the finest piece of literature in the Arabic language. The Quran is composed of verses (Ayah) that make up 114 chapters (suras) of unequal length which are classified either as Mecca or Madina depending upon their place and time of revelation. Muslims believe the Quran to be verbally revealed through angel Jibril (Gabriel) from God to Muhammad gradually over a period of approximately 23 years beginning in 610 CE, when Muhammad was 40, and concluding in 632 CE, the year of his death.

Quran Kareem ki Pesh Goyian:

Irshad bari taala hai aur hum ne tum par yeh Quran utara keh har cheez ka roshan biyan hai.

Allah taala ne Quran pak mein irshad fermaya
Aur koi dana nahi zameen ki andheron mein aur na koi tarawar aur na khushk jo aik roshan kitab mein likha na ho. (Anaam59)

Is tarah aik jagah aur irshad farmaya- aur hum ne tum par yeh Quran utara keh har cheez ka roshan biyan hai. (Al-khel-89)

Aap (SAW) ke chacha zaad aur pehle mufassir Quran Hazrat Abdullah Ibne Abbas farmate hain keh
Mere unt(camal) ki rassi bhi gum ho jaye to Quran ke zareye talash kar leta hon. (Al-taqaan)

Is tarah Imam shafyi farmate hain.
Jis cheez ki nisbat chaho mujh se puch lo mein is ka jawab Quran se donga (Al-taqaan-jild dom safha 126)

Mustaqbil mein ronuma hone wale aksar se mojud hai harf ba harf baad mein ro numa hoye jin ka tazkarah is baat ki dalalat karta hai keh dar asal Quran hi wahid kitab hai jo apne andar tamam alum samete huye hai. Hazrat Abdul Ibne Masud ke is qol ke sath kuch waqiyat Qare-een ki nazar karta hon aap ® ne farmaya jo shaksh ilm (jamaa) hasil karna chahe to is ke liye zaruri hai keh Quran ka daman tham le (kun keh Quran mein awal se aakhir tak tamam alum fanun ka zikar mojud hai. (Al-taqam)

Rom ki fatah ahle faras aur Rom ke darmian jang mein ahle faras ko Rom par fatah hui jo keh majosi the aur inhain mushriqeen Arab pasand karte the jab keh Romi ahle kitab the in ki shikast musalmano ko giran guzri. Is par darj zel ayaat nazil hu-yeen jin mein musalmanon ko yeh khush khabri di gayi hai keh anqareeb ahle rom dobarah ghalib honge aur taqreeban 7 saal ke mukhtasar arsah mein romi ahle faras par ghalib aagaye aur Quran ka sadaq
Zahir ho gia.

Quran mein romi maghlub hoye paas ki zameen mein aur apni maghlobi ke baad anqareeb ghalib honge chand baras mein. Huqum Allah hi ka hai aage aur piche aur is din imaan wale khush honge. (Al-Rom)

Firon ki laash: Hazrat musa aur firon ke darmian nil tak puncha aur phir darya mein duba 1235 qabal masih ka hai aur unisween sadi ka aakhri yani 1989 who saal hai jab taqreeban 3116 saal baad Quran pak ki sadaqat dunya ke samne bhar pur tareeqe se ayan huyi aur darya-e-nile ne firon ki laash ko ugal dia. Yeh mami nahi laash thi mahereen ne is baat ki tasdeeq ki keh yeh wahi firon hai jo Hazrat Musa ke sath maarkah mein daryaye nile mein doba tha is ka tazkarah Quran pak mein Allah taala ne is tarah farmaya:
Al-Quran: Aaj hum teri laash ko utar dein ge keh tu apne pichlon ke liye nishani ho aur be shak log hamare aayaton se ghafil hain.

Koh Jodi dar asal aik buland tareen (Turki mein waqai) pahari moqaam hai jahan who kashti thehri is kashti ke theharne ka zikar Bible mein bhi milta hai. jo jagah Ararat ya Jodi taqreeban 13000 feet ki buland tareen par hai jahan is kashti ke aasaar daryaft hoye aur 1960 mein is baat ka dawa kia gia keh yahi Noh (AS) ki kashti hai jis ka tazkarah Quran aur Bible donon mein milta hai aur yahi who jagah jis ke liye Hazrat Nuh ne dua ki.

Al-Quran: aye mere rab mujhe barkat wali jagah utara aur tu sab se behtar utarne wala hai. (Momino-29)

Mofasareen ke mutabiq dasween rajab ko yeh safar shoro hua jab hazrat Nuh mosal ya sham ki hadud se kashti mein sawar huye aur taqreeban che mahine tamam zameen ka tawaf kar ke dasween muharram ko kashti koh Jodi par thehri to aap ne aur aap ke sathiyon ne shukar ka roza rakha.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz na Parhne ka Azab

Namaz na Parhne ka Azab There fifteen punishment for not pray namaz. Six in the world, three at the time of death, three in Qabar and three also in Qabar. Read in detail in Roman Urdu. Namaz na Parhne ki 15 Sazayain: Jo namaz kay muaamlay mein susti barte ga. Allah use 15 qisam ki sazayain de ga. In mein 6 dunya mein, 3 mot ke waqt, 3 qabar aur 3 qabar se nikalne ke baad de ga. Dunya ki 6 Sazayain Yeh Hain: 1. Allah taala us ki umer se barkat zail kar dega. 2. Allah taala us ke chehre se neik logon jaisi nuranyat cheen le ga. 3. Allah taala us ke kisi amal ka ajar-o-sawab nahi de ga. 4. Us ki koi dua aasman tak buland nah hogi. 5. Allah taala logon ke samne use zaleel-o-khuar kare ga. 6. Naik logon ki dua mein us ka koi hissah na hoga. Mot ke Waqt 3 Sazayain: 1. Zaleel ho kar mare ga. 2. Bhuka mare ga. 3. Marte waqt etni sakht piaas lagegi keh agar use sare daryaon ka pani bhi pila dia jaye to piaas na jaye. Qabar ki Sazayain: 1. Us ki qabar tang kar di jaye gi

Sarmaya e hayat hai seerat rasool ki

سرمایہ حیات ہے سِیرت رسول ﷺ کی اسرارِ کائنات ہے سِیرت رسول ﷺ کی پُھولوں میں ہے ظہُور ستاروں میں نُور ہے ذاتِ خُدا کی بات ہے سِیرت رسول ﷺ کی بنجر دِلوں کو آپ نے سیراب کردیا اِک چشمہ صفات ہے سِیرت رسول ﷺ کی چشمِ کلیم ایک تجلّی میں بِک گئی جلووں کی واردات ہے سیرت رسول ﷺ کی جور و جفا کے واسطے برقِ ستم سہے دُنیائے التفات ہے سیرت رسول ﷺ کی تصویر زندگی کو تکلّم عطا کیا حُسنِ تصّورات ہے سیرت رسول ﷺ کی ساغرؔ سرور و کیف کے ساغر چھلک اُٹھے صبحِ تجلّیات ہے سیرت رسول ﷺ کی (ساغر صدیقی )

Namaz ki Niyat

Namaz ki Niyat There is no namaz without intention. The intention of this prayer is obligatory plans and intentions of the heart. For example I would think that the heart of the four rak'ahs farz or sunnat will officiate If you read the prayer behind the Imam of his intention to make muqtdy. Read in detail in Urdu. Namaz ki Niyat: Koi namaz niyat ke beghair nahi hoti. Jo namaz parhni ho is ki niyat karna farz hai. Aur niyat dil ke iradah ka naam hai maslan dil mein iradah kare keh falan waqt ki namaz char rikat farz ya char rikat sunnat ada karta hon. Agar imama ke piche namaz parhna ho to is ka moqdadi hone ki bhi niyet kare. Zuban se niyat karna zaruri nahi lekin agar zuban se bhi niyat kar le to yeh bhi durust hai aur Arbi mein niyat karne bhi zaruri nahi apni madri zuban(language) mein niyat kar lein. Hum bator namuna do niyatain likte hain, baqi namazon ki niyat isi tarah kar lia karein. Zuhar ki Char Sunnaton ki Niyat: Niyat karta hon char rikat namaz sunnat zuhar