Skip to main content

Ba Jamat Namaz kay Fazail:

Ba Jamait Namaz

Men should pray bajamait. Here is describing about benefit of bajamait namaz. Read in urdu.

Ba Jamat Namaz kay Fazail:

Allah taala ke fazal-o-karam se jahan be shumar inaam ata huye hain unhi inamaat mein se namaz bhi bila shubah Allah ka azeem-ul-shan inaam hai. keh is mein Allah ne hamare liye donon jahan ki bhalaiyan rakh di hain. Nez isi tarah jamat-e-namaz ki dolat bhi koi maamuli inaam nahi, yeh bhi hamare liye be shumar nekiyan hasil karne ka zareeyah hai. lehaza jamait ke fazail biyan kiye jate hain. Allah taala Quran majeed mein irshad fermata hai.

“Aur ruku karne walon ke sath ruku karo”.

Irshad farmate hain, jo koi Allah taala ke liye 40 din takbeer aola ke sath bajamayat namaz parhe. Us ke liye do aazadyan likh di jayain gi. Aik naar se dusri nefaaq se.

Pachon namazain ba jamayat ada karne wale ke liye har aik namaz ke juda juda azeem-us-shaan fazail par mushtamil rawayat;

Jab momin mard namaz-e-fajir ba jamayat ada karta hai to Allah taala us ke liye har rikat ke ewaz 12 siddiqon ka sawab nama-e-amaal mein darj fermata hai. Agar yeh shakhs zuhar ke waqt tak inteqaal kar jaye to dunya se shaheed uthe ga.

Zuhar ki namaz ba jamayat ada karne ke liye us ke har har hurf ke badle dheron nekiyan aur us par lazawal inaamat ki barish hoti hai. Zuhar ki namaz bajamayat ada kare to Allah taala har rikat ke ewaz 10 siddiqon aur 12 shaheedon ka sawab us ke namah amaal mein darj fermata hai. Agar yeh shaks asar ke waqt tak mar jaye to shahadat ka rutbah paye ga.

Asar ki namaz jamayat ke sath ada kare to har rikat ke badle parhaiz garon ka sawab aur hajiyon aur umrah karne walon ka ajar us ko mile ga. Agar yeh shakhs waqt-e-maghrib tak mar jaye to shaheed hoga aur jab namaz maghrib jamayat ke sath parhe to Allah taala har rikat ke badle ahle-khushu ka sawab aur 12 muqarrab farishton ka ajar use enayat farmaye ga. Agar yeh shakhs waqt isha tak mar jaye to shaheed hoga.

Aur jab isha ki namaz jamayat ke sath parhe to Alllah taala har rikat ke badle salkeen ka sawab aur 12 ulmaye ba-amal saheb taqwa ka ajar use bakhshe ga. Agar yeh shakhs us raat mar jaye to shaheed hoga.

aur jab namaz witr khua namaz-e-isha ke sath mila kar ya raat ke pichle hisse mein neend se bedar ho kar ada kare to Allah taala har rikat ke badle mein 100 ghulam aazad karne ka sawab aur 100 haj ka ajar use marhamat farmaye ga. Aur phir is qadar sawab mile ga keh goya us ne 100 raatain raat bhar ibaadat ilahi mein jaag kar basar ki hain. Agar subha tak yeh shakhs mar jaye ga to shaheed hoga.

Aur jis waqt tahajjud ki 12 rikatain 6 salam ke sath ada kare to Allah taala us ko qiyamat ke din qabar se sabireen ke zamrah mein uthaye ga aur us ke hisab mein takhfeef hogi.

Dua: Allah hamein rozanah pancho waqt takbeer-e-ula ke sath bajamayat namaz ada karne ki sayadat naseeb farma. Aur hum mein se jin jin ki qaza namazein baaqi hain un ko jald tar qaza umri ki tofeeq ata farma aur takhair se parhne ka guna bhi muaaf karde aur hum se sad ke liye raazi ho ja hamari aur hamare waldain ki aur sari ummat ki maghfarat farma. (Ameen).

Comments

Popular posts from this blog

Namaz na Parhne ka Azab

Namaz na Parhne ka Azab There fifteen punishment for not pray namaz. Six in the world, three at the time of death, three in Qabar and three also in Qabar. Read in detail in Roman Urdu. Namaz na Parhne ki 15 Sazayain: Jo namaz kay muaamlay mein susti barte ga. Allah use 15 qisam ki sazayain de ga. In mein 6 dunya mein, 3 mot ke waqt, 3 qabar aur 3 qabar se nikalne ke baad de ga. Dunya ki 6 Sazayain Yeh Hain: 1. Allah taala us ki umer se barkat zail kar dega. 2. Allah taala us ke chehre se neik logon jaisi nuranyat cheen le ga. 3. Allah taala us ke kisi amal ka ajar-o-sawab nahi de ga. 4. Us ki koi dua aasman tak buland nah hogi. 5. Allah taala logon ke samne use zaleel-o-khuar kare ga. 6. Naik logon ki dua mein us ka koi hissah na hoga. Mot ke Waqt 3 Sazayain: 1. Zaleel ho kar mare ga. 2. Bhuka mare ga. 3. Marte waqt etni sakht piaas lagegi keh agar use sare daryaon ka pani bhi pila dia jaye to piaas na jaye. Qabar ki Sazayain: 1. Us ki qabar tang kar di jaye gi...

Wazu ka Farz

Wazu ka Farz There are 4 farz of wazu, 11 sunnah. Total information about wazu and namaz read in Urdu, Hindi and English. About farz, naqiz, sunnah of wazu is described in detail. Read in Roman Urdu. Farz | Sunnat | Mustahab | Mustahjat | Makruhat |Naqiz Wazu: Wazu ke Faraiz: Wazu mein char farz hain 1. Peshani ke baalon se le kar thori ke niche tak aur donon kanon ki lo tak munh dhona 2. Dono hath kehniyon sameit dhona. 3. Chothai sar ka masah karna. 4. Dono payon takhnon sameit dhona. Wazu ki Sunnatein: 1. Niyat karna. 2. Shoro mein bismillah parhna. 3. Pehle teen bar dono hath kalayi tak dhona 4. Phir teen bar kulli karna 5. Maswak karna, 6. Phir teen bar naak mein pani dalna. 7. Teen bar chehrah dhona. 8. Sare sar ka aur kanon ka masah karna. 9. Darhi aur ungliyon ka khalal karna. 10. Lagatar is tarah dhona keh pehla azu khushk nah hone paye aur dusra azu dhul jaye. 11. Tarteeb war dhona keh pehle munh dhoye phir kehniyon sameit hath dhoye phir sar ka masah ...

Sarmaya e hayat hai seerat rasool ki

سرمایہ حیات ہے سِیرت رسول ﷺ کی اسرارِ کائنات ہے سِیرت رسول ﷺ کی پُھولوں میں ہے ظہُور ستاروں میں نُور ہے ذاتِ خُدا کی بات ہے سِیرت رسول ﷺ کی بنجر دِلوں کو آپ نے سیراب کردیا اِک چشمہ صفات ہے سِیرت رسول ﷺ کی چشمِ کلیم ایک تجلّی میں بِک گئی جلووں کی واردات ہے سیرت رسول ﷺ کی جور و جفا کے واسطے برقِ ستم سہے دُنیائے التفات ہے سیرت رسول ﷺ کی تصویر زندگی کو تکلّم عطا کیا حُسنِ تصّورات ہے سیرت رسول ﷺ کی ساغرؔ سرور و کیف کے ساغر چھلک اُٹھے صبحِ تجلّیات ہے سیرت رسول ﷺ کی (ساغر صدیقی )