Skip to main content

Namaz Eid-ul-Fitr

Namaz Eid-ul-Fitr

Eid ul fitr and eid ul adha prayer is obligatory for men to give up his sin. Longest the journey described in the statement passed they are not allowed to attend prayers. When go to prayer for eid ul fitr should prey a low voice takbeer tashree and when go to for eid ul adha namaz then should pray a load voice tahbeer tashree. Takbeer tasree is here Allah hu Akbar Allah hu Akbar laa ilaha illallah Allah hu Akbar..Allah hu Akbar walil laail hamd

Eid ka Biyan:

Eid ke Ahkamaat:
1. Ghusal karna

2. Maswak karna

3. Apne paas jo kapre mojud hon in mein se sab se ache kapre pehanna magar mard aur larke resham ke kapre na pahne

4. Khushbu lagana

5. Eid gah mein jo aabadi se dur ho eid ki namaz parhna

6. Eid gah paidal jana

7. Aik raste se jana aur dusre raste se wapis aana

8. Eid ki namaz se pehle ghar mein ya eid gha mein nafil namaz na parhna ghar aakar parhe to kuch harj nahi.

9. Namaz eid-ul-fitr se pehle khajur ya koi mithi cheezen khana

10. Agar sadqat-ul- wajib ho to is ko namaz se pehle ada karna

11. Eid-ul-azha ho to namaz ke baad jald se jald qurbani karna aur behtar hai keh is din qurbani ke gosht se pehle kuch na khayain.

Namaze-e-eid :

Namaz eid-ul-fitr aur eid-ul-azha mardon par wajib hai is ka chorna gunah hai. Han agar sharyi safar mein hon jis ka biyan namaz qasar ke biyan mein guzra to in namazon mein shirkat na karne ki ijazat hai.

Buhat se log eid ke din khutba chor kar chal dete hain ya khutbah ke waqt baithte to hain magar batain karte rehte hain yeh sab khelaf-e-shara hain.

Takbeer Tashreeh:

Eid-ul-fitar ki namaz ko jate huye jayain aur eid-ul-azha ki namaz ko jate huye ba awaz takbeer tashreeq kehte jayain takbeer tashree yah hai.

allah hu akbar allah hu akbar laa ilaha illallah allah hu akbar..allah hu akbar walil laail hamd

Baqrah eid ki 9th tareekh ki namaz fajir se le kar 13th tareekh ki asar tak har farz namaz ke baad ba awaz buland aik bar takbeer tashreeq kehna wajib hai. imam bhul jaye to moqtadi khud shuru kar dein. Is ka intezar na karein.
Aurat is takbeer ko aahistah aawaz se parhe.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz na Parhne ka Azab

Namaz na Parhne ka Azab There fifteen punishment for not pray namaz. Six in the world, three at the time of death, three in Qabar and three also in Qabar. Read in detail in Roman Urdu. Namaz na Parhne ki 15 Sazayain: Jo namaz kay muaamlay mein susti barte ga. Allah use 15 qisam ki sazayain de ga. In mein 6 dunya mein, 3 mot ke waqt, 3 qabar aur 3 qabar se nikalne ke baad de ga. Dunya ki 6 Sazayain Yeh Hain: 1. Allah taala us ki umer se barkat zail kar dega. 2. Allah taala us ke chehre se neik logon jaisi nuranyat cheen le ga. 3. Allah taala us ke kisi amal ka ajar-o-sawab nahi de ga. 4. Us ki koi dua aasman tak buland nah hogi. 5. Allah taala logon ke samne use zaleel-o-khuar kare ga. 6. Naik logon ki dua mein us ka koi hissah na hoga. Mot ke Waqt 3 Sazayain: 1. Zaleel ho kar mare ga. 2. Bhuka mare ga. 3. Marte waqt etni sakht piaas lagegi keh agar use sare daryaon ka pani bhi pila dia jaye to piaas na jaye. Qabar ki Sazayain: 1. Us ki qabar tang kar di jaye gi...

Sarmaya e hayat hai seerat rasool ki

سرمایہ حیات ہے سِیرت رسول ﷺ کی اسرارِ کائنات ہے سِیرت رسول ﷺ کی پُھولوں میں ہے ظہُور ستاروں میں نُور ہے ذاتِ خُدا کی بات ہے سِیرت رسول ﷺ کی بنجر دِلوں کو آپ نے سیراب کردیا اِک چشمہ صفات ہے سِیرت رسول ﷺ کی چشمِ کلیم ایک تجلّی میں بِک گئی جلووں کی واردات ہے سیرت رسول ﷺ کی جور و جفا کے واسطے برقِ ستم سہے دُنیائے التفات ہے سیرت رسول ﷺ کی تصویر زندگی کو تکلّم عطا کیا حُسنِ تصّورات ہے سیرت رسول ﷺ کی ساغرؔ سرور و کیف کے ساغر چھلک اُٹھے صبحِ تجلّیات ہے سیرت رسول ﷺ کی (ساغر صدیقی )

Namaz ki Niyat

Namaz ki Niyat There is no namaz without intention. The intention of this prayer is obligatory plans and intentions of the heart. For example I would think that the heart of the four rak'ahs farz or sunnat will officiate If you read the prayer behind the Imam of his intention to make muqtdy. Read in detail in Urdu. Namaz ki Niyat: Koi namaz niyat ke beghair nahi hoti. Jo namaz parhni ho is ki niyat karna farz hai. Aur niyat dil ke iradah ka naam hai maslan dil mein iradah kare keh falan waqt ki namaz char rikat farz ya char rikat sunnat ada karta hon. Agar imama ke piche namaz parhna ho to is ka moqdadi hone ki bhi niyet kare. Zuban se niyat karna zaruri nahi lekin agar zuban se bhi niyat kar le to yeh bhi durust hai aur Arbi mein niyat karne bhi zaruri nahi apni madri zuban(language) mein niyat kar lein. Hum bator namuna do niyatain likte hain, baqi namazon ki niyat isi tarah kar lia karein. Zuhar ki Char Sunnaton ki Niyat: Niyat karta hon char rikat namaz sunnat zuhar...