Skip to main content

Tahajjud

Tahajjud

Nawafil which is pray after the Isha Namaz, after awake from sleep in the night that namaz is called tahjjud. Night nawafil is better than day nawafil. Here is describe about Tahajjud Namaz in Urdu.


Salatul Tahajjud:

Jo nawafil isha ki namaz parhne ke baad raat so kar uthne ke baad parhe jaate hain un ko tahajjud kaha jata hai. Aur raat ke nawafil din ke nawafil se afzal hain. Sahi muslim mein marfu-an hai “ farzon ke baad afzal namaz raat ki namaz hai.

Tahajjud ke Liye Sona Shart Hai:

salatul lail ki aik qisam tahajjud hai keh isha ke baad raat mein so kar uthain aur nawafil parhain sone se qabal jo kuch parhain woh tahajjud nahi.

Tahajjud ki Rikatain:

Kum az kum tahajjud ki do rikatain hain aur hazrat Muhammad (SAW) se 8 tak sabit hain.

Tahajjud ki Surtain:

Aala Hazrat Molana Shah Ahmad Raza Khan(RA) farmate hain “ tahajjud mein ho sakay to jitna Quran yaad hai woh tamam parh lein. Warnah yeh bhi ho sakta hai keh har rikat mein surah fatiha ke baad teen teen bar surah Ikhalaas parh lein keh is tarah har rikat mein Quran khatam karne ka sawab mile ga” aisa karna behtar hai. waise tahajjud mein surah fatiha ke baad koi si bhi surtain parh sakte hain. Koi qaid nahi.

Dolat Tahajjud ki Char (4) Zahiri Shartain:

Shub mein bedaar ho kar tahajjud ada karna aur ibaadat mein mashghul hona agar che dushwar hai magar jo log mandarjah zeel sharait ke paband hote hain un ko har shub yeh dolat hasil karna ziadah dushwar nahi hota hai is ke hosul ke waste 4 shartain zahiri hain aur 4 batini.

Raat Mein Uthane ki 4 Zahiri Sharatain Yeh Hain:

1. Kum khana keh ziadah khane ki wajah se pani ziadah piya jaye ga jis se neend ghalib hogi aur shab mein uthna gira’n hoga.
2. Din mein is qadar shaaq kaam na kare’n jis se aaza mein madgi aur aasab mein kamzori paida ho jaye is liye keh is se bhi neend ka ghalbah hota hai.
3. Din mein qelulah tark na kare keh qiyam-e-shub mein madad punchane ke waste sunnat hai.
4. Tamam sharton se ahum shart yeh hai keh gunahon ka irtekaab na kare keh is se qalb mein qasawat (yani sakhti ) paida hoti hai jo neend aur asbaab-e-rehmat ke darmiyan hail hojati hai.

Raat Mein Uthne ki 4 Batini Shartain Yeh Hain:

1. Qalb ko kinah muslim se paak aur fazul deenwi zikron se saaf rakhain warnah bedari naseeb bhi huyi to bahalat-e-namaz yahi kheyalaat dil mein ayain gay.
2. Qalb mein khof-e-ilahi hone ke sath sath dinwi aarzuyon ki kami bhi ho.
3. Aayat Quraani-o-ahadees nabwi (SAW) aur aslaaf ke aqwaal se qiaam shab ki fazilat maalum karein takeh raghbat mustahkam ho jaye.
4. Hub-be-ilahi aur yeh towajjah rakhain mera parwardigar mere tamam ahwaal par muttalla hai. yeh batini sharton mein sab se ahum hai.

Tahajjud ki Fazilat:

1. Tahajjud ki namaz jahannum ki aag ko bujhati hai.
2. Tahajjud guzar log salamti ke sath jannat mein daakhil hon gay.
3. Tahajjud Qabar ki wahshat se bachata hai.
4. Raat mein jab sub sorahe hon us waqt Allah ki ibaadat karna nehayat hi azeem sayadat hai. Na maalum kon si ghari maqbulyat ki ho aur hamari aakhrat sanwar jaye.
5. Aadhi raat ke waqt do rikat parhna din ki har azeem nemat se bhi azeem tareen nemat hai.
6. Raat ki ibaadat hamesha neik logon ka maamul rahi hai aur yeh Allah taala ke qurb ka zareeya hi hai. aur gunahon ka kuffarah bhi. Nez is se jismaani bimaariyan bhi dur hoti hain.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz na Parhne ka Azab

Namaz na Parhne ka Azab There fifteen punishment for not pray namaz. Six in the world, three at the time of death, three in Qabar and three also in Qabar. Read in detail in Roman Urdu. Namaz na Parhne ki 15 Sazayain: Jo namaz kay muaamlay mein susti barte ga. Allah use 15 qisam ki sazayain de ga. In mein 6 dunya mein, 3 mot ke waqt, 3 qabar aur 3 qabar se nikalne ke baad de ga. Dunya ki 6 Sazayain Yeh Hain: 1. Allah taala us ki umer se barkat zail kar dega. 2. Allah taala us ke chehre se neik logon jaisi nuranyat cheen le ga. 3. Allah taala us ke kisi amal ka ajar-o-sawab nahi de ga. 4. Us ki koi dua aasman tak buland nah hogi. 5. Allah taala logon ke samne use zaleel-o-khuar kare ga. 6. Naik logon ki dua mein us ka koi hissah na hoga. Mot ke Waqt 3 Sazayain: 1. Zaleel ho kar mare ga. 2. Bhuka mare ga. 3. Marte waqt etni sakht piaas lagegi keh agar use sare daryaon ka pani bhi pila dia jaye to piaas na jaye. Qabar ki Sazayain: 1. Us ki qabar tang kar di jaye gi

Sarmaya e hayat hai seerat rasool ki

سرمایہ حیات ہے سِیرت رسول ﷺ کی اسرارِ کائنات ہے سِیرت رسول ﷺ کی پُھولوں میں ہے ظہُور ستاروں میں نُور ہے ذاتِ خُدا کی بات ہے سِیرت رسول ﷺ کی بنجر دِلوں کو آپ نے سیراب کردیا اِک چشمہ صفات ہے سِیرت رسول ﷺ کی چشمِ کلیم ایک تجلّی میں بِک گئی جلووں کی واردات ہے سیرت رسول ﷺ کی جور و جفا کے واسطے برقِ ستم سہے دُنیائے التفات ہے سیرت رسول ﷺ کی تصویر زندگی کو تکلّم عطا کیا حُسنِ تصّورات ہے سیرت رسول ﷺ کی ساغرؔ سرور و کیف کے ساغر چھلک اُٹھے صبحِ تجلّیات ہے سیرت رسول ﷺ کی (ساغر صدیقی )

Namaz ki Niyat

Namaz ki Niyat There is no namaz without intention. The intention of this prayer is obligatory plans and intentions of the heart. For example I would think that the heart of the four rak'ahs farz or sunnat will officiate If you read the prayer behind the Imam of his intention to make muqtdy. Read in detail in Urdu. Namaz ki Niyat: Koi namaz niyat ke beghair nahi hoti. Jo namaz parhni ho is ki niyat karna farz hai. Aur niyat dil ke iradah ka naam hai maslan dil mein iradah kare keh falan waqt ki namaz char rikat farz ya char rikat sunnat ada karta hon. Agar imama ke piche namaz parhna ho to is ka moqdadi hone ki bhi niyet kare. Zuban se niyat karna zaruri nahi lekin agar zuban se bhi niyat kar le to yeh bhi durust hai aur Arbi mein niyat karne bhi zaruri nahi apni madri zuban(language) mein niyat kar lein. Hum bator namuna do niyatain likte hain, baqi namazon ki niyat isi tarah kar lia karein. Zuhar ki Char Sunnaton ki Niyat: Niyat karta hon char rikat namaz sunnat zuhar