Skip to main content

Place of Hajj

Place of Hajj

The important place of hajj are Baitullah, Moqam-e-Ibraheem, Hajre-Aswad, Hateem Kaaba, Safa Marwah, Masjid-e-Haram, Minaa, Arfat, Mazdalfah, Madina Taiyabah read in detail in Roman Urdu.

Haj ke Ahum Moqamaat:

Baitullah:

Yeh hi who muqam hai jis ko baitullah Allah ka ghar kaha jata hai, is ka zikar Quran kareem mein Allah taala yun fermata hai, keh be shak sab se pehla ghar jo logon ki ibadat ke liye muqarrar hua who hai jo makkah mein hain barkat wala aur sare jahan ke liye rehnuma hai

Moqam-e-Ibraheem

Haram shareef ke moqaddas maqamat mein se moqam ibraheem is qadar azmat wala moqaam hai keh Quran kareem mein do jagah is ka zikar kia gia. Allah taala fermata hai
Tarjuma: bana lo Ibrheem ke khare hone ki jagah ko jaye namaz. (Al-Baqrah)
Tarjumah: is mein khuli nishanyan hein Ibraheem ke khare hone ki jagah hai (Al-Imran)

Hajre-Aswad:

Hajre Aswad bikul sufaid-o-chamakdar tha. Hamare gunahon ki siyahi ne isko siyah (black) kar dia. Hazrat ibne abbas ® ki rawayat hai keh nabi kareem (SAW) ne farmaya hajre-Aswad jannat se aaya who doodh se ziadah sufaid tha, ise aadmiyon ke gunahon ne siyah (black) kar dia.

Hateem Kaaba:

Hateem bhi kaaba ka sehan hai aur kaaba mein shamil hai. isi liye is ko bhi tawaf mein shamil karna zaruri hai aur is ke andar namaz parhne wala haqiqat mein kaaba ke andar hi namaz parhta hai.

Safa Marwah:

Beshak safa aur marwah Allah ki nishanyon mein se hein lehaza jo haj kare is ghar ka ya umrah to ise kuch harj nahi keh in donon ke darmian chakkar lagaye aur jo koi khushi se neki kare to Allah taala bara qadar dan khub janne wala hai. (Al-Baqrah-158)

Masjid-e-Haram:

Kaaba ke ird gird bani hui namaz ki jagah ko masjid-e-nabwi kaha jata hai is masjid mein khuda apne mehmanon ko apni khas inayaat se nawazta hai keh ibadat ka sawab aik lakh guna dia jata hai. aik namaz aik lakh namazon ke barabar, aik khatme-Quran aik lakh Quran khatam karne ke barabar sawab milta hai.

Minaa:

Is moqamaat ko “jamraat” kaha jata hai. jin par haji 10,11,12 zil-haj ko pathar marte hein jo shaitan se bezari aur nafrat ka ijtamayi elan hota hai, isi maidan mein who pahar bhi mojud hai jahan Hazrat Ibraheem ne apne bete Hazrat Ismail ko qurbani ke liye letaya tha isi yaad ko tazah karne ke liye hajiyon ko mina mein qurbani karne ka hokum dia gia hai.

Arfat:

Nabi kareem (SAW) ne farmaya keh arfah ke din Allah taala aasman dunya par nazul karm famata hai aur fakhar karte huye farishton se fermata hai keh mere bandon ko dekho who kis tarah para gandah sar, gar aalud, dur daraz raaston se mere ghar aaye hain, lehaza tum gawah raho mein ne in sab ke gunahon ko muaaf farma dia, farishte arz karte hain yarab in mein falan mard aur falan aurat to bad kari karte rahe hain Allah taala fermata hai mein ne inhain hi bakhsh dia, Hazrat Muhammad (SAW) ne far maya arfa se ziadah koi din logon ke aag se aazad hone ka nahi .

Mazdalfah:

Mazdalfah hi mein pahar hai jis ka naam masher haram ( izzat wala nishan) hai is pahar ke qareeb raat guzarna, zikar ibadat karna ziadah bais barkat-o-sawab hai jaisa keh Quran kareem mein hai. Jab tum arfat se wapis ho to masher haram ke pas Allah ki yaad karo (Al-Baqrah-198)

Qabulyat Dua:

Yun to sare makka aur haj ke tamam moqamat par dua Qabul hoti hai lekin kuch moqamat dua ki qabulyat ke liye makhsus hain. Pura mataf, maltazim (kaba ki chokhat ke niche ka hissah) mezab rehmat ke niche hateem ke andar, hajr-e-aswad ke qareeb, rukun yamani se kaba ke darwaze tak, chah zam zam ke qareeb, moqaam ibraheem ke piche, safa ke oper, marwah ke oper, sayi ke doran donon sabz melon ke darmian, maidan aurfat mein khasusan jabal rehmat ke qareeb ya oper, mazdalfah mein khasusan masher haram par, tinon jamron par rami ke baad.

Madina Taiyabah:

Hazrat (SAW) ki dua yaqinan qabul hoti hai, lehaza har musalman madina se muhabbat karta hai aur is ki yahi aarzu hoti hai keh kab makka mein haj ke din pure hon aur mdina ke liye rawana ho. Hazrat ibne umer ® ne biyan kia keh Hazrat (SAW) ne farmaya:
Jis ne meri wafat ke baad haj kia aur meri qabar anwar par hazri di goya is ne meri zindagi hi mein meri ziarat ki.

Comments

Popular posts from this blog

Namaz na Parhne ka Azab

Namaz na Parhne ka Azab There fifteen punishment for not pray namaz. Six in the world, three at the time of death, three in Qabar and three also in Qabar. Read in detail in Roman Urdu. Namaz na Parhne ki 15 Sazayain: Jo namaz kay muaamlay mein susti barte ga. Allah use 15 qisam ki sazayain de ga. In mein 6 dunya mein, 3 mot ke waqt, 3 qabar aur 3 qabar se nikalne ke baad de ga. Dunya ki 6 Sazayain Yeh Hain: 1. Allah taala us ki umer se barkat zail kar dega. 2. Allah taala us ke chehre se neik logon jaisi nuranyat cheen le ga. 3. Allah taala us ke kisi amal ka ajar-o-sawab nahi de ga. 4. Us ki koi dua aasman tak buland nah hogi. 5. Allah taala logon ke samne use zaleel-o-khuar kare ga. 6. Naik logon ki dua mein us ka koi hissah na hoga. Mot ke Waqt 3 Sazayain: 1. Zaleel ho kar mare ga. 2. Bhuka mare ga. 3. Marte waqt etni sakht piaas lagegi keh agar use sare daryaon ka pani bhi pila dia jaye to piaas na jaye. Qabar ki Sazayain: 1. Us ki qabar tang kar di jaye gi

Sarmaya e hayat hai seerat rasool ki

سرمایہ حیات ہے سِیرت رسول ﷺ کی اسرارِ کائنات ہے سِیرت رسول ﷺ کی پُھولوں میں ہے ظہُور ستاروں میں نُور ہے ذاتِ خُدا کی بات ہے سِیرت رسول ﷺ کی بنجر دِلوں کو آپ نے سیراب کردیا اِک چشمہ صفات ہے سِیرت رسول ﷺ کی چشمِ کلیم ایک تجلّی میں بِک گئی جلووں کی واردات ہے سیرت رسول ﷺ کی جور و جفا کے واسطے برقِ ستم سہے دُنیائے التفات ہے سیرت رسول ﷺ کی تصویر زندگی کو تکلّم عطا کیا حُسنِ تصّورات ہے سیرت رسول ﷺ کی ساغرؔ سرور و کیف کے ساغر چھلک اُٹھے صبحِ تجلّیات ہے سیرت رسول ﷺ کی (ساغر صدیقی )

Namaz ki Sunnatain aur Mufsedat

Namaz ki Sunnatain aur Mufsedat Here is some sunnatain and mufsedat of namaz is describe in detail. Read carefully. Namaz ki Sunnatain aur Mufsedat: Yeh cheezen namaz mein sunnat hain 1. takbeer tahrimah ke waqt mardon ko donon hath kanon tak uthana aur auraton ko sine tak uthana 2. Mardon ko naaf ke niche aur aurtaon ko sine par hath bandhna 3. Sana aakhir tak parh na 4. Aauzobillah puri parhna. 5. Bismillah puri parhna 6. Aik rukun se dusre rukun ko muntaqil hone ke waqt Allahu Akber kehna 7. Ruku se uthte huye samiullahuleman hamd aur rabbana lakal hamd kehna 8. Ruku mein subhana rabbiul azeem kam se kam teen martabah kehna aur 9. Sijdah mein kam se kam teen martabah subhana rabbial aala kehna 10. Dono sijdon ke darmian aur attahyat ke liye mardon ko bayain paon par baithna aur sidhe payon khara karna aur auraton ko donon payon sidhi taraf nikal kar kulhon par baithna 11. Darud shareef parhna 12. Darud ke baad dua parhna 13. Salam ke waqt dayain bayai