Skip to main content

Namaz na Parhne ka Azab

Namaz na Parhne ka Azab

There fifteen punishment for not pray namaz. Six in the world, three at the time of death, three in Qabar and three also in Qabar. Read in detail in Roman Urdu.

Namaz na Parhne ki 15 Sazayain:

Jo namaz kay muaamlay mein susti barte ga. Allah use 15 qisam ki sazayain de ga. In mein 6 dunya mein, 3 mot ke waqt, 3 qabar aur 3 qabar se nikalne ke baad de ga.

Dunya ki 6 Sazayain Yeh Hain:

1. Allah taala us ki umer se barkat zail kar dega.
2. Allah taala us ke chehre se neik logon jaisi nuranyat cheen le ga.
3. Allah taala us ke kisi amal ka ajar-o-sawab nahi de ga.
4. Us ki koi dua aasman tak buland nah hogi.
5. Allah taala logon ke samne use zaleel-o-khuar kare ga.
6. Naik logon ki dua mein us ka koi hissah na hoga.

Mot ke Waqt 3 Sazayain:

1. Zaleel ho kar mare ga.
2. Bhuka mare ga.
3. Marte waqt etni sakht piaas lagegi keh agar use sare daryaon ka pani bhi pila dia jaye to piaas na jaye.

Qabar ki Sazayain:

1. Us ki qabar tang kar di jaye gi aur us ki qabar is qadar bheinche gi keh us ki pasliyan tut phut kar aik dusre mein pewast ho jayain gi.

2. Us ki qabar mein aag bhar kayai jaye gi jis mein ulat palat ho ta rahe ga.

3. Us ki qabar mein aik azdhaha musallat kar dia jaye ga jis ki ankhain aag ki aur nakhun lohe ke hon gay har nakhun ki lambaayi aik din ki masafat ke barabar hogi. Woh karak kar kahe ga mein azdhaha hon mujhe mere rab ne hokum farmaya hai keh tujhe subha ki namaz zayah karne ke jurm mein subha ta tulu aaftab, nama-e- zuhar zaya karne par zuhar ta asar, namz-e-asar zaya karne par asar ta maghrib, namz-e-maghrib zaya karne par maghrib ta isha namaz-e-isha zaya karne par isha ta subha maarta rahon aur jab jab woh aik zarb lagaye ga to murdah 70 hath zameen men dhans jaye ga. Phir who azdhaha apne nakhun zameen mein gar kar us ko nikale ga. To yeh azaab us par qiamat tak musalsal hota rahe ga.

Qabar se Uthne ke Baad ki 3 Sazayain:

1. Allah taala jahannam ki aag ka aik badal us ke chehre ke samne musallat farmaye ga. Jo us ko jahannam ki taraf hank kar le jayega.
2. Hisab ke waqt Allah us ki taraf ghazabnaak nazar dale ga jis se uske chere ka gosht jhar jaye ga.
3. Us ka hisab sakhti se lia jayega. Allah us ko dozakh mein le jane ka hokum sadir farmaye ga.

Comments

  1. nozbillah, itna khatarnaak azab ya allah hum sab musalmanon ki gunaahon ko maaf farmaaye aur hum sab ko panjangana namaz padhne ki taoufeek ata farmaaye aur jo namaz hamse kaza ho gayi use bharne ki taoufeek ata farmaye aur qabr k azab se bhachaye aur jo is duniya se rhukhsat ho gaye hai unki magfirat farmaaye. ameen, summaameen

    ReplyDelete
  2. allah hum sab ko namaz kayam karna wala banye ameen our hum sab ko maff kar de ameen

    ReplyDelete
  3. Apne kaam ache karo musalamano Allah to mauf karne wala hai Allah raheem ke sath sath jalal bhi hai is liye apne app ko acha karo beshak Allah to mauf karne wala hai.......

    ReplyDelete
  4. ALLAH hmai maaf farma hum bht gunagaar mgr tere rehmat k umeedwar Hai ...

    ReplyDelete
  5. your post is best but I believe this is best book to understand to Namaz ka gona.
    Benamazi - Maqam e Ibrat

    ReplyDelete
  6. ALLAH PAK NABI KAREEM K SADKE HUM SAB KO NAMAZ KA PABAND BANAYE ALLAH SE DUA HA HAME HIDAYAT DEDE AKHRI SANS TAK AMEEN

    ReplyDelete
  7. Allah Tala Hamain Muaf Farmaey aue Salat Qayam krny wala Banaey
    Hamari Auladon aur Naslon main Bhi koi Be Namazi Na ho. Ameen.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Sarmaya e hayat hai seerat rasool ki

سرمایہ حیات ہے سِیرت رسول ﷺ کی اسرارِ کائنات ہے سِیرت رسول ﷺ کی پُھولوں میں ہے ظہُور ستاروں میں نُور ہے ذاتِ خُدا کی بات ہے سِیرت رسول ﷺ کی بنجر دِلوں کو آپ نے سیراب کردیا اِک چشمہ صفات ہے سِیرت رسول ﷺ کی چشمِ کلیم ایک تجلّی میں بِک گئی جلووں کی واردات ہے سیرت رسول ﷺ کی جور و جفا کے واسطے برقِ ستم سہے دُنیائے التفات ہے سیرت رسول ﷺ کی تصویر زندگی کو تکلّم عطا کیا حُسنِ تصّورات ہے سیرت رسول ﷺ کی ساغرؔ سرور و کیف کے ساغر چھلک اُٹھے صبحِ تجلّیات ہے سیرت رسول ﷺ کی (ساغر صدیقی )

Namaz ki Sunnatain aur Mufsedat

Namaz ki Sunnatain aur Mufsedat Here is some sunnatain and mufsedat of namaz is describe in detail. Read carefully. Namaz ki Sunnatain aur Mufsedat: Yeh cheezen namaz mein sunnat hain 1. takbeer tahrimah ke waqt mardon ko donon hath kanon tak uthana aur auraton ko sine tak uthana 2. Mardon ko naaf ke niche aur aurtaon ko sine par hath bandhna 3. Sana aakhir tak parh na 4. Aauzobillah puri parhna. 5. Bismillah puri parhna 6. Aik rukun se dusre rukun ko muntaqil hone ke waqt Allahu Akber kehna 7. Ruku se uthte huye samiullahuleman hamd aur rabbana lakal hamd kehna 8. Ruku mein subhana rabbiul azeem kam se kam teen martabah kehna aur 9. Sijdah mein kam se kam teen martabah subhana rabbial aala kehna 10. Dono sijdon ke darmian aur attahyat ke liye mardon ko bayain paon par baithna aur sidhe payon khara karna aur auraton ko donon payon sidhi taraf nikal kar kulhon par baithna 11. Darud shareef parhna 12. Darud ke baad dua parhna 13. Salam ke waqt dayain bayai