Skip to main content

Fasting in Islam

Fasting in Islam

Fasting in Islam is to refrain from eating, drinking or having sexual intercourse for the sake of Allah from the break of dawn to sunset. The rule for Fasting is similar to Namaz and is Farz-e-Ain. Those who reject to believe it as obligatory (Farz) is a Kafir and those who miss it without genuine reason is a big sinner and will receive punishment in hell. Strong boys and girls should be forced to keep a fast. Read more detail in following in Urdu.

Rozay ka Haq:

Rozah aik aisi ibaadat hai jis ka badal koi dusri ibaadat nahi ho sakti hai. isi liye roze har ummat par farz huye hain.

Allah tala ka irshad hai
Iman walo! Tum par roze farz kiye gaye jis tarah tum se pehle logon par farz kiye gaye the takeh mutaqi aur par heiz gar ban jao (sura baqrah)

Nabi Kareem (SAW) ne irshad farmaya:
jis shakhs ne rozah rakh kar kabhi jhut bolna aur jhut par amal karna nah chora to khuda ko is se koi dilchaspi nahi keh woh bhuka aur paisa rehta hai.(Bukhari)

Nabi kareem (SAW) ne yeh bhi irshad farmaya:

jis shakhs ne iman ki kaifyat aur ahtasab (sawab ki niyat se) key sath ramzan ka roza rakha to khuda is key in gunahon ko muaaf farmade ga jo pehle ho chuke hain.(Bukhari)

Ramzan-ul-Mubarak key roze pure ahtamam aur zooq-o-shaoq se rakhain. Kisi shadeed bimaari aur kisi uzar key beghair kabhi roaza nah choray. Nabi kareem (SAW) ka irshad hai.

jis shakhs ne kisi bimaari ya sharyi uzar key beghair ramzan ka aik bhi roazah chora to umer bhar key roze rakhne se bhi is aik roze ki talafi na hosakay gi.

Rozay mein reyakari aur dekhaway say bachnay kay liye maamul kay mutabiq hashash bashash aur chaq-o-choband apnay kamon mein lagay rehye aur apnay andaz-o-atwar say rozay ki kamzori aur susti ka izhar nah kijye.

Nabi Kareem (SAW) nay isrshad farmaya:
“Rozah dhal hai( dunya mein gunahon aur aakhrat mein dozakh say hifazat karta hai) aur jub tum mein say koi rozay say ho to apni zuban say koi is say gali gloch karnay lagay ya larayi karnay par taiyar ho to is rozay dar ko keh dena chahiye keh mein to rozay dar hon”.

aap (SAW) nay yeh bhi irshad farmaya keh qiamat kay roz rozah sifarish karay ga aur kahe ga, parwar digar mein nay is shakhs ko din mein khanay pinay aur dusri lazzaton say rokay rakha, khuda ya ! tu is shakhs kay haq mein meri sifarish qabul farma aur khuda is ki sifarish qabul farmaye ga."

Iftar kay waqt rozay dar jo dua mangay, qabul ki jati hai, rud nahi ki jati. Is liye iftar kay waqt dua kijye. Rozay ki takaleef ko hansi khushi bardasht kijye. Bhuk-o-pias ki shiddat ya kamzori ki shikayat kar kay rozay ki na qadri nah kijye. Safar kay doran ya marz mein ziadti ki wajah say rozay na rakh saktay hon to chor dijye aur dusray dinon mein is ki qaza kijye Allah pak irshad fermatay hain:

“ jo koi bimaaryon ya safar mein ho, to woh dusray dinon mein rozon ki taadad puri kar lay”.

Rozay mein ghibat aur bad nigahi say bachnay ki koshish kijye.

Nabi kareem (SAW) nay farmaya:
Rozay dar subah say sham tak khuda ki ibadat mein hai, jab tak woh kisi ki ghibat nah karay aur jab woh kisi ki ghibat kar baith-ta to is kay rozay mein shagaf par jata hai.”

Comments

Popular posts from this blog

Namaz na Parhne ka Azab

Namaz na Parhne ka Azab There fifteen punishment for not pray namaz. Six in the world, three at the time of death, three in Qabar and three also in Qabar. Read in detail in Roman Urdu. Namaz na Parhne ki 15 Sazayain: Jo namaz kay muaamlay mein susti barte ga. Allah use 15 qisam ki sazayain de ga. In mein 6 dunya mein, 3 mot ke waqt, 3 qabar aur 3 qabar se nikalne ke baad de ga. Dunya ki 6 Sazayain Yeh Hain: 1. Allah taala us ki umer se barkat zail kar dega. 2. Allah taala us ke chehre se neik logon jaisi nuranyat cheen le ga. 3. Allah taala us ke kisi amal ka ajar-o-sawab nahi de ga. 4. Us ki koi dua aasman tak buland nah hogi. 5. Allah taala logon ke samne use zaleel-o-khuar kare ga. 6. Naik logon ki dua mein us ka koi hissah na hoga. Mot ke Waqt 3 Sazayain: 1. Zaleel ho kar mare ga. 2. Bhuka mare ga. 3. Marte waqt etni sakht piaas lagegi keh agar use sare daryaon ka pani bhi pila dia jaye to piaas na jaye. Qabar ki Sazayain: 1. Us ki qabar tang kar di jaye gi

Sarmaya e hayat hai seerat rasool ki

سرمایہ حیات ہے سِیرت رسول ﷺ کی اسرارِ کائنات ہے سِیرت رسول ﷺ کی پُھولوں میں ہے ظہُور ستاروں میں نُور ہے ذاتِ خُدا کی بات ہے سِیرت رسول ﷺ کی بنجر دِلوں کو آپ نے سیراب کردیا اِک چشمہ صفات ہے سِیرت رسول ﷺ کی چشمِ کلیم ایک تجلّی میں بِک گئی جلووں کی واردات ہے سیرت رسول ﷺ کی جور و جفا کے واسطے برقِ ستم سہے دُنیائے التفات ہے سیرت رسول ﷺ کی تصویر زندگی کو تکلّم عطا کیا حُسنِ تصّورات ہے سیرت رسول ﷺ کی ساغرؔ سرور و کیف کے ساغر چھلک اُٹھے صبحِ تجلّیات ہے سیرت رسول ﷺ کی (ساغر صدیقی )

Namaz ki Sunnatain aur Mufsedat

Namaz ki Sunnatain aur Mufsedat Here is some sunnatain and mufsedat of namaz is describe in detail. Read carefully. Namaz ki Sunnatain aur Mufsedat: Yeh cheezen namaz mein sunnat hain 1. takbeer tahrimah ke waqt mardon ko donon hath kanon tak uthana aur auraton ko sine tak uthana 2. Mardon ko naaf ke niche aur aurtaon ko sine par hath bandhna 3. Sana aakhir tak parh na 4. Aauzobillah puri parhna. 5. Bismillah puri parhna 6. Aik rukun se dusre rukun ko muntaqil hone ke waqt Allahu Akber kehna 7. Ruku se uthte huye samiullahuleman hamd aur rabbana lakal hamd kehna 8. Ruku mein subhana rabbiul azeem kam se kam teen martabah kehna aur 9. Sijdah mein kam se kam teen martabah subhana rabbial aala kehna 10. Dono sijdon ke darmian aur attahyat ke liye mardon ko bayain paon par baithna aur sidhe payon khara karna aur auraton ko donon payon sidhi taraf nikal kar kulhon par baithna 11. Darud shareef parhna 12. Darud ke baad dua parhna 13. Salam ke waqt dayain bayai